Shimr ne pehle sakina ko dikhaya khanjar
- Mir Hasan Mir (2023)
Wa ghareeba.. Wa Hussaina
Haaye Hussain
Shimr ne pehle sakina ko, dikhaya khanjar..(2)
Shimr ne pehle sakina ko dikhaya khanjar..(2)
Baad mein gardan e sarwar pe chalaya khanjar
Shimr ne pehle sakina ko, dikhaya khanjar
1. Haaye..
Kabhi Haider ne gala rakha, kabhi Zahra ne..(2)
Kitne masoom pe zalim ne chalaya khanjar
2. Baap par waar to beti pe tamache barse..(2)
jab bhi qatil ka sakina ne hataya khanjar
3. Ek anguthi ke liye kaat di angusht e hussain..(2)
laash par sheh ki tujhe rehem na aaya khanjar
4. Qatl zainab ko kiya cheen ke chadar sar se..(2)
is tarha shimr ne naize ko banaya khanjar
Shimr ne pehle sakina ko, dikhaya khanjar
5. Ek sharabi ko azeeyat ka kaha'n andaza..(2)
jis tarha chaha sitamgar ne chalaya khanjar
6. Aaye sajjad jo bazaar e madina mein kabhi..(2)
badhke qassab ne jaldi se chupaya khanjar
7. Pher kar muh ko Ali kehne lage ya Zahra..(2)
itni be dardi se..
itni be dardi se zalim ne phiraya khanjar
8. Haaye..
Wa hussaina ka hua shor 'takallum' barpa..(2)
shimr mukhtar ke jab saamne laaya khanjar
Shimr ne pehle sakina ko, dikhaya khanjar