Pathar ki barish
- Shabbir and Abbas Tejani (2009)
Pathar ki barish
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
1. Qasim nahi hai(n), Akbar nahi hai(n)
Had hai yahi ke, Asghar nahi hai(n)
Ab na bacha hai, koi sahara
Kulsoom ka hai, ye bayn lab par
(Haaye shaam ka majma, aada ka hai nargha, abbas chale aawo) x2
2. Aun-o-Muhammad, ko laayi zainab
Bacho(n) ko qurbaan, kar aayi zainab
Sadmaa-e-kulsoom bas yahi tha,
Qurbaan kardu(n), mei kisko sheh par
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
3. Abbas aaye khaime me dekha,
Sar ko jukaaye bethi thi behna,
Kulsum tumhaare naam par me,
sar apna dunga maqtal me jaakar
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
4. Kulsum kaise bhoole wo manzar
Jalte the khayme, chhinti thi chaadar
Abid ko jhalte khaymo(n) se Zainab
Kaandho(n) pe laayi, abbas bankar
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
5. Shaam-e-gharibaa(n), jab ban me chaayi
Bali Sakina, maqtal me aayi
Kulsoom tanha, ban mei khari thi
Koi nahi tha, munis-o-yawar
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
6. Masum bachi, darbaar ka dar,
Noke sina par hai baap ka sar,
Har ik taraf hai ghayron ka majma
Kisko bulaaye, sarwar ki dukhtar
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
7. Parde ka zamin, Abbas ka sar
Rehta nahi hai, nok-e-sina par
Bazaar mei jab, kulsoom aayi
Manzar na sehpaya wo dilawar
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
8. Kaise chalengi, beti ali ki,
chaaro(n) taraf hai majma sharabi
Zalim ka majma, sarwar ka kunba
Guzrenge kaise, aal-e-payambar
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
9. Darbaar me jab zalim ne pucha
Tumme se zainab hai naam kiska
Darbar ka dar rokar pukara
Ho tum kahaan ay fatahe khaybar
(Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar) x2
10. Bus ye dua hai kulsoom bibi,
Nawha sunaaye jab bhi tejani
Har dam rahe hum dono pe qayam,
Ghazi ke parcham, ka saya sar par