Kya baap se is tarha juda hote hai akbar

- Syed Raza Abbas Zaidi (2023)


Haye ali akbar.. Haye ali akbar.. (2)

Maqtal ki zamee'n aur qayamat ka wo manzar
the god mein shabbir ki zakhmi ali akbar
bete ki taraf dekhke jab Ya Ali kehkar
ek haath rakha seene pe, ek haath sina par
seene se sina khaich ke kehne lage sarwar
kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

1. Kya tumse kahu kis tarha pohcha hu sirhane
mai ghutniyo chal kar tumhe aaya hu uthane
aankhein na karo band, meri jaan chalo ghar

kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

2. Takleef hai seene mein ye ehsaas hai humko
mehsoos karo tum bhi to is baap ke ghum ko
mar jaunga yu ediya'n ragdo na zamee'n par
kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

3. Is haal mein gar saamne beta tera hota
zakhmo ki taraf dekhke kya tu nahi rota
do hausla seene se lagalo mujhe uthkar
kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

4. Chehre pe naqab is liye rehta tha tumhare
Allah nazar na lage, akbar ko humare
phir kiski nazar kha gayi hum shakl e payambar
kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

5. Kyu baap ki aghosh mein dum tod rahe ho
ghurbat mein akela hume tum chhod rahe ho
kyu hichkiya'n lete ho mere saamne dilbar
kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

6. Zalim ne sina maarke jab zee'n se giraya
haatho'n se jigar thaam ke tu khaak pe aaya
chehre pe tere khoon hai, zakhmi hai tera sar
 kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

7. Kuch der mein le aayega qasid khat e sughra
hum se na padha jaega tum bhi na tadapna
jis waqt pukarunga mai, khat seene pe rakh kar
kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba

8. Akbar ne jab aghosh mein li aakhri hichki
zeeshan o raza khaime se zainab ne sadaa di
marjaenge shabbir teri laash utha kar
kya baap se is tarha juda hote hai akbar

meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega
haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba