Shadat e shehzada ali asghar
- Syed Raza Abbas Zaidi (2023)
Shah jab lasha e besheer ko haatho pe liye
haye maidaan se khaimo ki taraf jane lage
raah mein saath qadam aage badhe piche hate
apne zaanu pe phir asghar ka janaza rakhke
kaise shabbir ne dil apna sambhala hoga
teer jab gardan e asghar se nikala hoga
Khaich kar teer phir ek baar shahe deen chale
laash uthaye hue jab khaime ke darr par pohche
parda khaime ka hatate hue kuch der ruke
yaad jab aayi sakina to yeh kehkar palte
ghum se marjaegi jab saamne aayegi bahan
bhai ka zakhmi gala dekh na payegi bahan
Aagaye laasha liye khaimo ke piche shahe dee'n
bole asghar ki taraf dekh kar aye mere hasee'n
kaash ke hum bhi tere saath hi mar jate wahi'n
haye itna to tujhe teer ne bhi maara nahi'n
ran mein maara hai tujhe garm hawa ne jitna
muh khula tha pyaasa tha na jaane kitna
Shiddat e dhoop wo, sehra ki tapish loo ki chubhan
qabr talwar se jab khod chuke shah e zaman
roke kehne lage, phaila ke abaa ka daman
kaha'n ye jalti zamee'n aur kaha'n nazuk sa badan
kabhi chooma kabhi seene se lagaya laasha
baap ne qabr mein rakh rakh ke uthaya laasha
Ya Ali kehke jo phir qabr mein laasha rakha
maa na aajaye kai baar ye uth kar dekha
paon ki simt se tadfeen ka aghaz kiya
tan chupate hue jab hath gale tak pohcha
bosa besheer ki gardan ka badi der liya
khaak mein chehra chupate hue muh pher liya
Sar chadhaye gaye jab naizo pe ek sar na mila
khaak mein naiza gadhate hue zalim nikla
dhundhte dhundhte wo khaimo ke piche pohcha
maar kar naiza jo khaicha to badan saath aaya
run mein jab umme rabab aaye yeh manzar dekha
apne bachhe ka badan nok e sina par dekha
Haye zeeshan O raza zulm yaha'n bhi na ruka
jab tadapte hue besheer ke maa ko dekha
usne naize se banda khaich ke matti pe rakha
saamne maa ke gala kaat diya asghar ka
ye la'ee jaane, ye maa jaane, ya jaane asghar
naiza us sar mein piroya tha, ya phir naize mein sar..