Utha nahi jata amma
- Syed Raza Abbas Zaidi (2023)
Jis dum hussain zeen se aaye zameen par
aankho mein khaak aur badan tha lahoo mein tarr
arey jab sar utha ke dekha to dhundhla gayi nazar
dekha koi zaeefa chali aati hai idhar
amma ki khushbu aayi to uthne lage hussain
tazeem jab na ho saki, kehne lage hussain
Amma... Amma..
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
Milke nau laakh ne..
Milke nau laakh ne itna mujhe maara amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
1. Isse pehle ki meri beti yeh dekhe aake
shimr se keh do utar jaye mere seene se
dekho soti hai yaha'n
dekho soti hai yaha'n, meri sakina amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
2. Haye pardes mein yeh waqt hai kaisa hum par
dekho tum pani pilati thi jise uth uthkar
aaj aghosh mein
aaj aghosh mein, mar jaega pyaasa amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
3. Maine dekha hai use chehre ke bal girte hue
kat chuke haath mera bhai uthega kaise
deke aawaz use
deke aawaz use, tum na bulana amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
4. Gurz talwar o tabar, naiza o bhala maara
jisko kuch bhi na mila usne tamacha maara
mujhpe barsa diya
mujhpe barsa diya, jo haath mein aaya amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
5. Usne dekha hai abhi sirf mera zakhmi badan
lad khadate hui girti hai sambhalti hai bahan
kaise dekhegi bahan
kaise dekhegi bahan, bhai ka marna amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
6. Haye shabbir ne yeh maa se kaha ro ro kar
chalne wala hai meri sukhi rago'n par khanjar
meri gardan pe abhi
meri gardan pe abhi, haath na rakhna amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
7. Itne armaan mere dil mein hi dum tod gaye
dekho tanha ali akbar bhi hume chhod gaye
chidd gaya barchi se
chidd gaya barchi se, akbar ka kaleja amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma
8. Akhri waar hua kat gaya shabbir ka sar
maa tadapti rahi zeeshan o raza ro ro kar
gunjta reh gaya
gunjta reh gaya, maqtal mein ye nauha amma
Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma