Shahzada e ali akbar
- Farhan (ALI WARIS) (2023)
Haay
Din ro ke guzarta hai
aur raat bhi matam mein
jazbaat likhe sare
sughra ne tere ghum mein
khat aaya hai sughra ka
karti hai behan noha
khat aaya hai sughra ka
karti hai behan noha
haan tere liye bhaiyya
ghar ho gaya weera'n
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
=================================
1. Is ghar mein umeedo ke
jalte hain diye bhaiyya..(2)
kyun karbobala jake
tum bhool ge waada..(2)
ghar lout ke ajao
ab aur na tadpao
sughra pe taras khao
mai tum pe hun qurba'n
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
=================================
2. Behno ka sahara to
hote hain sada bhai..(2)
behno ki nigaho mein
rehte hain sada bhai..(2)
aankho mein tera chahra
phirta hai mere bhaiyya
khaali hai tera hujra
behna hai paresha'n
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
=================================
3. Yeh socha tha sughra ne
dulhan teri laungi..(2)
mai neg bhi mangungi
mehandi bhi lagaungi..(2)
tu lout ke na aaya
dil toot gaya mera
phir khaak hue bhaiyya
is dil ke sab armaa'n
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
=================================
4. Ek saal huwa bhaiyya
chehra na tera dekha..(2)
is baat pe roti hoon
sehra na tera dekha..(2)
duhan jo kabhi lana
mujhko bhi bula lena
tum bhool nahi jana
rakh lena mera maan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
=================================
5. kaano mein mere aayi
awaz e azaa'n akbar..(2)
mein rote hue pohchi
tab nana ke roze per..(2)
karbal se hawa aayi
yeh sath khabar laee
akbar ne sinaa khayi
hai bar sare maidaan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
=================================
6. Maqtal mein shah e wala
bas khaak udate the..(2)
khat fatima sughra ka
akbar ko sunate the..(2)
yeh waqeya jab likha
lafzo ne kiya girya
bas khatm huwa noha
ay mazhar o farhan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan
Shahzada e ali akbar
Sughra ke dil o jaan