Al ajal ya imam
- Shabbir and Abbas Tejani (2009)
Al ajal ya imam
Ayna talibu bi dhuhulil anbiya, ayna talibu bi damil maqtooli bi
(Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4
1. Har taraf jahan me zulm aur jafa hai
Aaj aake dekho, waqt kya para hai
Saare momino ke lab pe ye sada hai
Inteqame
Har gari hamare dil me bus dua hai
(Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4
2. Ab munfiqat ka dor chal raha hai,
Bekhata lahu ko jo bahaa raha hai
Zulm ki hukumat, aaj har jaga hai
Aaj be alaamat, qabr-e-sayyeda hai
(Sayyeda fatemah, sayyeda fatemah) x4
3. Tum bhi mere maula ibne sayyeda ho
Jaane mustafa ho, ibne murtaza ho
Maula askari kai, aap mehlaqa ho
Aaj aap maula, shaahe
Zalimo(n) ke sar ki, aap hi qaza ho
(Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4
4. Aap ayiye ab, muntazir hai kabaa
leke awo khanjar, shahe la fatah ka
aap ayenge jab, inqelab hoga
aap ka hai sadqa, ye jahaan saara
naam leraha hai, har malak tumhara
(Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4
5. parchame hussaini haath me uthaawo
mausame adalat, aap leke aawo
farsh ab aza ka, har jaga bichaawo
aur diya aza ka, har taraf jalaawo
Rab se jo kiya hai, wada tum nibhaawo
(Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4
6. Kaise bhool jaaye(n),
Shaah-e-karbala tha, zee(n) pe na zamee(n) par
Pyaasa wo gale par, chal raha tha khanjar
Khayme se ye Zainab, keh rahi thi rokar
Babajaa(n) bachaawo,
(Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4
1. Darke niche zahra jabke gir rahi thi
Haath tha kamar par baap ko sada di
Mohsine ali ko jabke kho rahi thi
Marte marte zahra deti thi duhayi
Ab hai unki badla teri zimmedari
(Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4
2. Kayinaat me hai har zaba(n) pe naaraa
Inteqame zahra lijiye khudaaraa,
Aap ko tejani ne hai ab pukaaraa
Dijiye qalam ko aap ka sahaaraa
Nohay jab parhe ham saath ho tumhaaraa
(Alajal ya imam, ya imame zamaan) x4