Mere Andar Basi Hai Karbala

- Kazmi Brothers (2023)


Karbala(4)
Karbala(4)

Main jahaan jaaun mere andar basi hai Karbala(3)
Banke Dhadkan Mere Dil Mein Gunjti Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andar Basi Hai Karbala(2)

1) Mere Seene Me Azal Se Bass Raha Hai Ya Hussain
Ye Jo Dhadkn Ki Musalsal Ik Sada Hai Ya Hussain
Har Ghadi Aawaaz Mujhko De Rahi Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andr Basi Hai Karbala

2) Gunjte Hain Ya Husaina Se Musalsal Baam O Dar
Choudah Sadiyon Se Hai Jaari Sheh Ke Maatam Ka Safar
Iss Tarah Seena Ba Seena Chal Rahi Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andar Basi Hai Karbala

3) Maa Ne Dikhlaaya Hai Rasta Farshe Majlis Ka Humein
Halqa E Maatam Me Lekar Aaein Hain Baba Humein
Godh Se Maa Baap Ki Humko Mili Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andar Basi Hai Karbala

4) Shaam O Kufa Ke Safar Mein Bedhiyaan Thaame Rahi
Touq Ka Bosa Kabhi Zanjeer Ka Bosa Kabhi
Aabid E Beemar Se Lipti Hui Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andar Basi Hai Karbala

5) Taaziyaane Khaaegi Himmat Magar Dikhlaaegi
Shaam Tak Mazloom Ka Paigham Lekar Jaaegi
Sheh Ki Maiyyat Se Qasam Khaakar Uthi Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andr Basi Hai Karbala

6) Sabr Waale Taaza Tan Hai Zulm Waale Thak Gaye
Khanjaron Ne Haar Maani Mere Bhaale Thak Gaye
Peeche Hatne Ki Jagah Aage Nadhii Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andar Basi Hai Karbala

7) Hai Kahin Akbar Jawaan Ka Sar Kahin Besheer Ka
Sar Bureeda Hai Kahin Abbas Ka Shabbir Ka
Noke Naiza Pe Safar Larti Rahi Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andar Basi Hai Karbala

8) Be Kafan Uss Saiyyado Sardar Par Laakhon Salaam
Ek Din Hoga Takallum Uske Khoon Ka Inteqaãam
Muntazir Ibne Ali Ki Aaj Bhi Hai Karbala
Karbala(2)

Main Jahaan Jaaun Mere Andar Basi Hai Karbala (2)

Karbala(8)