Mai uthata raha wo bikharta raha
- Syed Mohammad Shah (2023)
Aaye jis waqt aseeron me wo tadfeen ke baad
Roke karte the yai aabide muztar faryaad
Aisi haalat me tha laasha Abbas ka,
Mai uthata raha wo bikharta raha - 2
Dadi Zahra ki paamal thi yu dua
Mai uthata raha wo bikharta raha
1. Maine chaha ke mayyat ko yakjaa rahe
Apne haathon se baazu chacha ke chune
Pattharon se laaeno ne maara unhe
tukde tukde muje baazu unke mile
Ek baazu bhi unka salamat na tha
2. Chaar su laash unki yu mujko mili
Jaise mayyat thi qasim ki bikhri hui
babajaan ne aba me use chunliya
ye bhi mumkin na tha haaye gurbat meri
Ek qaidi tha mai kaise laata aba
3. Apni haalat karu kis tarha se bayaan
Ek manzar pe meri bandhi hichkiya
pehluon per yu naizo ke kuch waar the
Yaad dadi ki aane lagi pasliya
yu shikasta tha laasha sambhalta na tha
4. Daayen jaanib se mayyat uthayi agar
Baayi jaanib kiya haddiyon ne safar
laash paamal lashkar ne is tarha ki
Sher ke tukde tukde hui thi qamar
Mere kaandhon pe laasha sambhal na saka
5. Run me ladte hue zeen se jab gira
Sar juda tan juda dono baazu juda
Mera battees barso ka kadyal jawaan
6 mahine ke asgar ke jitna bacha
Usko ghodo ne paamal aise kiya
6. Teer se jis ghadi run me paani baha
Aisa lagta tha ghazi ko aayi qaza
Misle ghazi tha mashkiza Abbas ka
na wo khayme gaya na ye khayme gaya
bawafa ka tha mashkiza bhi bawafa
7. Qaafela laut kar jab madine gaya
Haye akbar ye ummul baneen ne kaha
Mera Abbas maqtal me kaise lada
Beta Sajjad kya haal laashe ka tha
Roke sajjad bas ye hi kehta raha