Ashor Ka Din, Shame Gariban Agayee

- Muqarrib Alipuri (2015)


Ashor ka din dhal Gaya shame ghariban agayee

Tashna labi se khoshk tha pyaase musafir ka gala,
Larze zameen o aasmaan jab shimr ka khanjer chalaa,
Mazloom ki ghardan katiii har simth se aaandhi chalii,
Naize pe sar sheh ka chadha ayee sadaa e karbala,
ASHOOR KA DIN DHALGAYA, SHAAME GHARIBAN AAGAYEE,
AAYE NA SHA HE KARBALA SHAME GHARIBAN AGAYEE..
Ashur ka din dhal gayaa...

1) larzi Zamin kaanpa falak barsa lahoo roye malak-2
Sar shah ha ka jab katt gaya shame ghariban agayee,
Ashur ka din dhal gaya...

2) Moqtal me hain tarikiyan sehmi howi hai bibiyan-2
Kije madad ya murtazaa, shame ghariban agayee,
Ashur ka din dhal gaya...

3) shimre layin k khaoof se bachchon k dam ghuttne lage-2
Maaoon me hai aahoo bukaa, shame ghariban agayee
Ashur ka din dhal gaya..

4) Apna watan hai aur na ghar jaaye Sakina ab kidhar-2
Har ja andhera cha gayaa shame ghariban agayee.
Ashur ka din dhal gaya...

5) Ghar jalgayee bazu bhandhe daman jala gauhar chine-2
Kaano se qoon behne lagaa shame ghariban agayee.
Ashur ka din dhal gaya...

6) zalim ne bistarr kheench kar aabid ko baydi daal karr-2
Bandha Sakina ka galaa shame ghariban agayee.
Ashur ka din dhal gaya...

7) sarwar nahin ghazi nahin Aun o Mohamed bhi nahin,
Zainab howi be aasiraa shame ghariban agayee.
Ashur ka din dhal gaya...

8) Jisdam MUQARRIB aur MUJEEB pahunche hain rooze k khareeb-2
Aati rahii paiham sadaa shame ghariban agayeee.

Ashur ka din dhal gayaa shame ghariban agayeee
Aaye na sha he Karbala shame ghariban agayee........