Daag Ye Dil Per Laaye Hai
- Anjuman e Hussainiya balwaghat jaunpur (2018)
Nauha
Sunlo Meri Fariyad Khudara,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(1)
Sehra Me Jab Shaam Dhali Thi,
Khaimo Me Phir Aag Lagi Thi,
Kaise Jala Daman-e-Sakeena,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(2)
Maqtal Me Bechain Hazeena,
Dhudh Rahi Thi Tumko Sakeena,
Koi Nhi Tha Uska Sahara,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(3)
Baba Ye Bhi Daag Hai Dil Par,
Maa Phupiyo Ki Chin Gai Chadar,
Dekh Rahe The Hum lab-e-Dariya,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(4)
Ahl-e-Haram Ke Baazu Bandhe The,
Ek Rasan Me Baarah Gale The,
Kaanto Par Dushwar Tha Chalna,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(5)
Doob Chuke The Aas Ke Manzar,
Hootho Per The Pyaas Ke Manzar,
Tashna Labo Ka Zard Tha Chehra,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(6)
Mujhko Bacha Lo Kehti Thi Khawahar,
Bandha Gaya Jab Pushat-e-Shutur Par,
Zanjiro Me Bhai Tha Jakdha,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(7)
Dil Zakhmi Hai Kaise Sunau,
Sham Ke Manzar Kaise Batau,
Khoo Roota Tha Aapka Kunba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(8)
Shaam Ke Sab Bazaar Saje The,
Log Tamasha Dekh Rahe The,
Gairat Se Sir Mera Jhuka Tha,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(9)
Shimr-e-Laee Ne Mare Tamache,
Aur Kano Se Bundde Bhi Chine,
Rooti Thi Lekar Naam Chacha Ka,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(10)
Baba Sahe Ye Zulm Bhi Saare,
Pheke Gaye Humpar Anggare,
Tha Mushkil Iss Haal Me Jeena,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(11)
Be Parda Namoos-e-Payambar,
Aur Bhata Darbaar-e-Sitamgar,
Soch Ke Ye Phat Ta Hai Kaleja,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(12)
Qaid-e-Sitam Ka Tha Ye Aalam,
Dhoop Thi Din Ki Raat Ki Shabnam,
Kaise Rahe Hum Qaid Me Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(13)
Kitne Masayab Seh Gai Khawahar,
Qaid-e-Sitam Me Reh Gai Khawahar,
Na Aai Humrah Sakeena,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(14)
Aapka Chehlum Ab Karna Hai,
Ashko Se Daman Bharna Hai,
Ab To Nahi Roone Par Pehra,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
(15)
Sun Ke Hasan Purdard Ye Lehja,
Chashm-e-Aza Se Behta Tha Dariya,
Jab Ye Padha Bimaar Ne Nauha,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
Kehte The Aabid Aye Mere Baba,
Daag Ye Dil Par Laye Hai,
*******The End********