Maut Rooi Teri Jawani Par
- Anjuman e Hussainiya balwaghat jaunpur (2019)
Nauha
Aye Mere Lal Mere Noor-e-Nazar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
Haye Jakhmi Jigar Ali Akbar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(1)
Tujhko Mainda Me Lagi Barchi,
Toot Kar Dil Me Reh Gai Barchi,
Kha Gai Haye Tujhko Kiski Nazar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(2)
Mere Chashme Falaq Tara Tha,
Tujhko Meri Bahen Ne Pala Tha,
Khaimai Gham Ki Dard-Naak Khabar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(3)
Teri Surat Teri Ada Pe Fida,
Khushk Hulqoom Ki Sada Pe Fida,
Aye Meri Chashme Aasma Ke Qamar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(4)
Wo Tera Mudh Ke Dekhna Akbar,
Chashm-e-Nam Me Hai Bas Yahi Manzar,
Kaise Bhoolu Ye Saneha Dil-Bar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(5)
Ab To Qismat Bigadh Gai Beta,
Meri Duniya Ujadh Gai Beta,
Aye Meri Zindagi Ke Sham-o-Saher,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(6)
Jab Main Pahucha Kareeb Tar Tere,
Dekh Kar Hosh Kho Gaye Mere,
Keh Rhi Thi Ye Zainab-e-Muztar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(7)
Karwate Dam Ba Dam Badalte The,
Ediya Khakh Par Ragadhte The,
Daag Hai Ye Mere Sine Par,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(8)
Khoon Main Tere Haal Par Roya,
Tooti Barchi Nikal Kar Roya,
Haye Zakhmo Se Chur-Chur Pisar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(9)
Baar-e-Gham Is Qadar Uthaye Hai,
Teri Maiyat Ko Run Se Laaye Hai,
Iss Jawani Me Aakhrat Ka Safar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(10)
Ladkhadati Hui Zaban Ne Kaha,
Tere Laashe Par Teri Maa Ne Kaha,
Maa Teri Ji Ke Kya Karegi Akbar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(11)
Chain Us Dil Ko Kis Tarah Aaye,
Jiska Kadhiyal Jawan Mar Jaye,
Aye Qateele Girohe Bani Ye Shar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
(12)
Rahat-e-Qalbo Jane Didaye Nam,
Teri Rodaad Aur Hasan Ka Qalam,
Royega Umr Bhar Yahi Likh Kar,
Maut Rooi Teri Jawani Par,
*********The End************