Ab Nahi Hai Meri Saanso Ka Bharosa Baba

- Anjuman e Hussainiya balwaghat jaunpur (2022)


```Nauha```

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,
Jane Kya Hai, Meri Taqdeer Me Likha Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(1)
Aap Jab Qatal Hue Tab Ye Qayamat Aai,
Chaar Janib Se Ye Yateema Pe Musibat Aai,
Jalte Khaimo Se Jala Hai Mera Kurta Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(2)
Apne Ammu Ko Bulao Ye Laee Kehta Tha,
Mai Sisakti Thi Mere Kaano Se Khoon Behta Tha,
Shimar Ne Bunddo Ko Iss Tarah Se Khaicha Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(3)
Jiska Koi Na Rahe Usko Rulata Hai Koi,
Ek Yateema Ko Bhala Durre Lagata Hai Koi,
Pushat Per Ab Bhi Har Ek Zakham Hai Taza Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(4)
Pushat Per Durre Na Lagte Na Tamache Padte,
Aap Hote To Mere Zakham Pe Merham Rakhte,
Bs Isi Aas Me Ab Tak Hu Main Zinda Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(5)
Be Kajawa Tha Shutur Jispe Mujhe Bandha Gaya,
Baba Mai Rooti Rahi Jism Mera Chilta Raha,
Hai Mera Sara Badan Khoon Me Duba Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(6)
Meri Gardan Thi Phuphi Amma Ki Gardan Se Bandhi,
Iss Liye Baba Main Panjo Per Safar Karti Rahi,
Mera Qad Saare Aasiro Me Tha Chota Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(7)
Sham Pahuchte To Aaseero Ne Ye Manzar Dekha,
Tanz Ke Teer Har Ek Hath Me Patthar Dekha,
Sabne Dekha Meri Gurbat Ka Tamasha Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(8)
Baith Kar Takhat Per Hasta Tha Khushi Se Zalim,
Aapke Hotho Ko Chuta Tha Dhadhi Se Zalim,
Maine Ye Zulam Bhi Darbar Me Dekha Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(9)
Tauq Pehne Hue Ek Bekaso Muztar Roya,
Dekhar Suy-e- Falaq Mera Baradar Roya,
Mujhko Zalim Ne Kaneezi Me Jo Manga Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(10)
Ghudkiya Dete Hai Zindaan Me Aakar Mujhko,
Baba Rone Nahi Dete Hai Sitamgar Mujhko,
Kaise Aankho Me Thame Ashqo Ka Dariya Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(11)
Kar Ke Humwar Har Ek Reh Guzar Jaugi,
Aise Ek Roz Riha Ho Ke Mai Ghar Jaugi,
Jaise Jata Hai Koi Ghar Ko Parinda Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(12)
Dekh Leti Main Use Baat Meri Ho Jati,
Kash Sugra Se Mulaqaat Meri Ho Jati,
Yaad Aata Hai Bahut Mujhko Madina Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(13)
Qabar Ke Jaisa Andhera Hai Ye Zindaan Nahi,
Iss Andhere Se Nikalna Koi Aasan Nahi,
Hai Savere Ke Tasawvur Me Bhi Pehra Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(14)
Ab To Ammu Bhi Nahi Aas Bhala Kiski Hai,
Peyaas Aisi Hai Ki Taalu Se Zaban Chipki Hai,
Tashnagi Maut Na Ban Jaye Karu Kya Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(15)
Waqt Darkar Hai Rudaad Sunane Ke Liye,
Rooh Betaab Hai Zindan Basane Ke Liye,
Maine Dekha Hai Abhi Maut Ka Saya Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba,

(16)
Jisko Pani Na Mila Haye Rahi Tashna Dahen,
Uske Khadim Hai Her Ek Gaam Nawaz Aur Hasan,
Jo Ye Kehti Rahi Zindaan Me Baba Baba,

Ab Nahi Hai Meri Saanso, Ka Bharosa Baba, -2


********The End*********