Naizey Par
- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2022)
Khoon rota hai sarr e shaah e hudaa Naizey par
Kya Nazar aata hai Zainab ki ridaa Naizey par
Shaam tak baali sakina ney tamaachey khaaye
Shaam tak khaaya hai pathar Sarr e Shah Naizey par
Saamney baap ke beti pey barastey pathar
Chashm e shabbir se hai khoon rawaa Naizey par
Sarr e shabbir uthaakar nahi laaye aadaa
Ashkiyaa'n lekey Gaye deen e khuda Naizey par
Kya hayaa aagayi Zainab ney kahaa aabed se
Kyu'n nazar aata nahi Gaazi mera Naizey par
Jab bhi zainab ke khuley sarr pey Nazar jaati thi
Har qadam par Shah e dee'n martaa hi rahaa Naizey par
Nazr logo'n ki hataana tha sarr e zainab se
Isliye sheh ka sarr Qur'an padhaa Naizey par
Beech baazaar mey bey parda hai bintey Zehra
Girgaya qaak pey jab Gaazi sunaa Naizey par
Padhkey Qur'an ye shabbir ney batlaaya hai
Kaisey karni hai adaa hamd e khuda Naizey par
Juz Husain ibney Ali hashr talak aye *"Gaazi"*
Kaun kar paayega Khaaliq ki Sanaa Naizey par