Abbas-e-alamdar
- Rizvi Mohd Sadiq Hallauri (2023)
shabbir ke rauze pai woh jata hai azadar
abbas ata karde jisse neamat e deedar
ghazi se dua kijiye talab sadiq O Danish
humko bhi bhula lijiye abbas e alamdaar
Jab Zaire shabbir ki fehrist banana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Momin ke liye Karbobala rab ki hai naimat
Jannat hai ye jannat hai ye jannat hai ye jannat
Bechain hai dil kar ke ziyarat mile rahat
Ai sab ke madadgaar bana de meri kismat
Taqdeer ke taaer ko u parwaz karana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Jab zaire shabbir ki fairist banana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Ye sach hai ki sarwar ki ziyarat na milegi
Jisko mere ghazi ki ijazat na milegi
Daulat badi mil jaegi izzat na milegi
Sach kehte hai hargiz ye sa'adat na milegi
Roze pe bulakar meri izzat ko badhana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Jab zaire shabbir ki fairist banana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Sajda karu aa kar tere kadmo ki zamee par
Aur khakh tere dar ki lage meri jabe par
Khidmat tere zaier ki karu ake wahi par
Ab koi bhi arman mera baki nahi par
Bas ek tamanna hai tere roze pe jana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Jab zaire shabbir ki fairist banana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Waha jake manana hai mujhe ap ka chehlum
Qasim ne dikhaya tha jaha tarz e takallum
Asghar ne chalai thi jaha teg e tabassum
Ja teg e tabassum se tha aada me talatum
Jis ja ye ikattha hui anjum wo dikhana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Jab zaire shabbir ki fairist banana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Jaunga waha banne Sakeena ka mai sakka
Aur pani pilaunga azadaro ko maula
Mil jae sharaf khidmate zaier ka jo aaka
Mai apne mukaddar pe sada naaz karunga
Faryaad hai kashti ko meri par lagana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Jab zaire shabbir ki fairist banana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Wa jaunga akbar ko jaha barchee lagi thi
Wo teela bhi dekhunga jaha bibi khadi thi
Jaha ahele haram ke liye mushkil ki ghadi thi
Bhai ka gala kat te behen dekh rahi thi
Akbar ka tumhe wasta ab jald bulana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Jab zaire shabbir ki fairist banana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Ek din me jaha lut gayi Zahara ki kamai
Shabbir se bichda jaha Abbas sa bhai
Aur khoon se hue surkh jaha daste hinaai
Roti thi jaha ale Mohammed pe khudayi
Aye maula makaam awon O Mohammed ka dikhana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana
Aye maula humari hai ye dili khwahish
Dehleez pe sar shaah ki rakhe sadiq o danish
Shabbir se kar dijiye hum sab ki sifarish
Karte ho karam sab pe ho hum par bhi nawazish
Hai apki mutthi me hi bakshish ka khazana
Abbas e alamdar mujhe bhul na jana