Amma mujhe sambhalo
- Shabbir and Abbas Tejani (2008)
Amma mujhe sambhalo
Hal Min Naasareen Yan Sur Naa
(Amma Haye Amma) x4
(Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo) x2
- Nazdeek aa raha hu(n), Wada nibharaha hu(n), Amma mujhe sambhalo
- Akbar nahi hai ghazi, darya pe sogaya hai
- Awaaz dasht may jab, hal min ki de raha tha
- Duba huwa lahu may, ye dasht-e-Karbala hai
- Zakhmo(n) se mera amma, tan chur hogaya hai
- Aankho(n) ke saamne hay, har bachpane ka manzar
- Lut jayengi ridaaey(n), khayme bhi ab jalenge
- Amma badan ye sara, teero(n) se ab bhara hai
- Sajde mei mera sar hai, talwaar chal rahi hay
- kaise likhe "Tejani", purdard ka wo manzar
(Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo) x2
Raah-e-khuda may sara, kunba ujjar gaya hai
Be aas hogaya hu(n)
Tanha may rehgaya hu(n)
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Abbas-e-bawafa ka, lasha tarap raha tha
Maqtal may aa raha hu(n)
Tumko bula raha hu(n)
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Chehre pe khoon-e-Asghar, mene yuhi(n) mala hai
Kis haal mei hai amma
Pyaasa ye laal tera
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Lashe utha utha ke, dil gham se bhar gaya hai
Charo(n) taraf hai hamlaa
Talwar ki tabar ka
Amma mujhe sambhalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Lori suna rahay the, zanu(n) pe tum sulaakar
Ab haal aake dekho
Godi may mujhko lelo
Amma mujhe sambhalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Pyaari meri Sakina, ke baliyaa(n) chinenge
Shaam-e-gharibaa(n) mei tab
Hogi sada-e-Zainab
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Ghore pe na zamee(n) par, lasha mera para hai
Ab shimr ki churi hay
Gardan pe chal rahi hay
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
Khayme ke dar pe Zainab, bechain ho rahi hay
Tuttegi ab qayamat
Nazdeek hay shahadat
Amma mujhe sambhaalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
jab shimr ne chalaya, ibne ali pe khanjar
awaaz thi fiza may,
haaye dasht-e-karbala may
amma mujhe sambhalo
Sine se ab lagalo Aghosh me chuupalo Amma mujhe sambhaalo
(Amma mujhe sambhalo) x4
Ya ayyatuhan-nafsul mutma'innah, irji'ee ilaa rabbika raadiyatam-mardiyyah