Hussain Hogaye Tanha

- Mir Mubashir Hassan ( Bangalore ) (2023)


Hussain Hogaye Tanha ajeeb ghurbat hai
Koi bacha Nahi apnaa ajeeb ghurbat hai

1-
Jigar pa bojh hai abbas ki judaei ka
Uthayen Kis tarah Sadma geraa,n hai Bhai ka
Kamar hui hai khamidaa ajeeb ghurbat hai

2-
Hai kaun Jo Shah e Mazloom ko dilasa de
Zaeif baap ko badh Kar koi Sahara de
Jawa,n pesar Ka hai Lashaa ajeeb ghurbat hai

3-
Gham e feraaq ne dill Ka suroor cheen liya
Jawa,n ki maut ne aakhon Ka Noor cheen liya
Dikhai Kuch Nahi detaa ajeeb ghurbat hai

4-
Shaheed ho Gaye Zainab ke phool se bachche
Sitam ne Kar diye qasim ki laash ke tukde
Jigar hai dard se phat,taa ajeeb ghurbat hai

5-
Abhi to zulm ne manzar ajab dikhaya hai
Sawal e aab pa asghar ko teer maraa hai
Tadap ke rah Gaye maula ajeeb ghurbat hai

6-
Nazar uthaa ke Jo sooy e khayaam dekhte hain
Ajeeb dard Ka manzar imaam dekhte hain
Karen to kya shah e walaa ajeeb ghurbat hai

7-
Hai Kaisa dard Ka aalam Mubashshir o Rizwan
Haram se hone ko rukhsat hain ab Shah e Zishaan
Bapaa hai naala o girya ajeeb ghurbat hai