Hai yeh mehdi ki sada

- Shahid Ali Shahid (2021)


(Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi)×3

(Itna tanha toh kisi Kaum ka)×2
Sardar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Itni tanhai mai Shabbir se badhker hu ghareeb
Jaun hai saath na kufe mai koi mera Habib
(Hur jaisa koinlashkar mai)×2 wafadaar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Meri takat Meri umid mera zor kamar
Apni abru ke ishare se pachade lashkar
(Mera Abbas Baradar sa)×2 Alamdaar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Dard Ke dhup mai saye ki Rida de mujhko
Le keh bosa mere Mathe ka dua de mujhko
(Koi Zainab si behen meri)×2 madadgaar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Rab se sajde mai kabhi ashk bahaker mango
Meri amad ki dua arsh hilaker mango
(Dard sehte ho masiha ke)×2 talabgaar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Ran Se dete rahe halmin ki sada maula Hussain
Sheh ki gurbat pe kiye tumne jigar tham ke bain
(Shor girya mai mili tegho ki)×2 Jhankar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Ek Dujeh se akido pe jhagadne wale
Waqt be waqt jo tayar hai ladne wale
(Nafs se apne hue bar sare)×2 Paekar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Shab guzare, na munajat ka koi hai shaur
Alajal kehte hai hone bhi nhi dete zahur
(Muntazir kaise hai jo fajr mai)×2 Bedaar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Kalbe mazloom ki fariyad tumhare aasu
Har arize mai shaheedo ke lahu ki khushbu
(Ghaib mai chain se mera dile)×2 afgaar nhi

Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nhi

Masle wal shams zamne mai zahure mehdi
Kat dega shabe tarik ko nure mehdi
(Zulm mai nafs koi ho ga)×2 Giraftar nhi

(Hai yeh mehdi ki sada koi madadgaar nahi)×3