Dekhi Hai Zulmo Sitam Ki Aandhiyan Sajjad Ne

- Asmee Kanodari (2023)


Dekhi Hai Zulmo Sitam ki AandhiyaN sajjad ne..
Taaziyano ki Sahi hai SakhtiyaN sajjad ne..

Dasht me Dekha Kaleja, Aur Gala,Baju Juda..
Baba ki Tooti huwi bhi PasliyaN Sajjad ne..

Maut aayi aaj lekin mar to woh tab hi gaya..
Dast e Zainab me jo dekhi RassiyaN sajjad ne..

Hai Musalsal ye Sakina pe Tamacho ka asar...
Bachhi ki Bachpan me dekhi JurriaaN sajjad ne..

Rooh e Akbar keh Rahi thi Dekh kar Nauke SinaaN..
Mujhse bhi jyada hain Khaayi BarchhiyaN sajjad ne..

MezbaaN ghar me Hua jab Qaatile akbar jawaaN...
HaathoN se Usko Khilayi RotiyaN sajjad ne..

Kya Guzar jayegi Zainab par yahi to Soch kar..
Dard tha phir bhi na li hain SiskiyaN sajjad ne..

Shimr ne jab naam e zainab le liya darbaar me..
Sath aankhoN ke kari Bandh MuththiyaN sajjad ne...

Khakh par mujh ko sulado Ye kaha Waqt e kaza..
Haaye baba keh ke Ragdi EdiyaaN sajjad ne..

Der tak rote rahe "Asmee" Sakina ko WahaN
Paayi hai Asbab me jab BaaliyaN sajjad ne..