Royi jab laadli Mohammad ki

- Kazmi Brothers (2022)


Royi jab laadli Mohammad ki
saara darbar muskuraya hai

Haye baad e rasool Zahra par
kaisa ghurbat ka waqt aaya hai
saara darbar muskuraya hai

Royi jab laadli Mohammad ki
saara darbar muskuraya hai

1. Jaise jaise Batool roti thi
kehqahe unke badhte jate the
saath jinko Batool laayi thi
ashk dono gawah bahate the
sab the masroof muskurane mein
na kisi ko bhi tars aaya hai
saara darbar muskuraya hai

Royi jab laadli Mohammad ki
saara darbar muskuraya hai

2. Mai to woh hu ke Ya Rasulallah
jiski tazeem aap karte the
naam lena ho jab mera baba
aap pehle darood padhte the
kya batau ke mujhpe kya guzri
usne(l.a.) "tu" kehke jab bulaya hai
saara darbar muskuraya hai

Royi jab laadli Mohammad ki
saara darbar muskuraya hai

3. Yeh wo bibi hai ke Mohammad bhi
jiko umme abiha kehte the
wo sawali bani khadi thi magar
saamne kursiyo pe baithe the
usko muslim kahu bhala kyu kar
jisne bibi ka dil dukhaya hai
saara darbar muskuraya hai

Royi jab laadli Mohammad ki
saara darbar muskuraya hai