Alam Ke Saye Main

- Mir Hasan Mir (2024)


ae alam wale(4*)
uncha apna alam(2*)
jab tak bhi hain sino dam
uncha rahe apna alam
sajta rahe badhta rahe uncha rahe alam
abbas ka alam

alam ke saye main
[alam ke saye main](2*)
abbas ke hubdar baithe hain(3*)
kahin Salman o Buzar(2*)
aur kahin Mukhtar baithe hain.....
zaba'n main aaj meri aik anokhi si ravani hain
bohat nazdeek shayad(2*)
Meesum-e-Tammar baithe hain....

padar se muthiya'n Abbas ki jhule main
kehti hai(2*)
abhi se karbala jane ko ham tayyar baithe hain....
mahe shaban hain maula pila jame wila hamko(2*)
mere saqi teri(2*)
chaukhat pe sab maikhar baithe hain....

alam bardariye Abbas ki taqreeb jaari hain (2*)
abu talib ke ghar sare alam bardar baithe hain.....
gayi'n hain sham-o-kufa dekhne abbas ki behne(2*)
kaha'n chup kar (2*)hamare sher se far'rar baithe hain....
Ali Asghar ka sadqa hain dilo main ehel e batil kain(2*)
TAKALLUM teer ki(2*)
surat tere ash'har baithe hain........