Madad kare ya Fatima (s.a)

- Syed Raza Abbas Zaidi (2024)


madad karen madad karen
Ali ke haq ka vaastaa hai bibi Fatima (s.a)
 
kisay sunaein haal-e dil hamara kon hai yahan
bas aapka hai aasra Kareem karbalaa ki maa
Chhuda lo gham se ab hamein
tumhara naam Fatima (s.a) he hai bibi Fatima (s.a)
 

dar-e Hussain dekhlu bohat udaas hai nazar
Najaf se karbalaa hamein bulale arbaeen par
labon pay ya hussain hai
hamaray dil mein karbalaa hai bibi Fatima (s.a)

hai jab se qaid me pisar adhoora lag raha hai ghar
is intezaar mein hai maa kab aayega mera pasar
rihayi ki khabar miley
aseer jo bhi be khata hai bibi Fatima (s.a)

ae sayeda hai aapko Hasan Hussain ki qasam
jo khaali godiyan hain ab yeh unn pay kijiye karam
ataa ho waarise Azaa
labon pay bas yahi dua hai bibi Fatima (s.a)

mareez lailaaj ko dikhaeye yeh moujeza
be haqqe Abide hazeen ataa karen ussay Shifa
ae Razia ae Merzia
tumharay haath mein Shifa hai bibi Fatima (s.a)

Bichaunga mai kab talak safe Azaa yahan wahan
mujhe woh ghar ataa karen bapaa hon majlise jahan
hon ghar mein apke qadam
yeh har ghareeb chahta he bibi Fatima (s.a)

zahoor ho Imam ka banayen aapka haram
he maatami ki arzoo bichay wahan bhi farsh-e gham
shakista qabar dekhkar
hamara dil tadap raha he bibi Fatima (s.a)

tootay hue dilon ka bas ek aasra hain aap
jisko Ali pukaarain wohi Fatima (s.a) hain aap
mushkil kusha ke wastay mushkil kusha hain aap
zeeshan aur Raza ke labon ki sada hain aap
dil hai udaas hum hain pareshan Fatima (s.a)
mushkil hamari kijiyej aasaan Fatima (s.a)