Nade Ali
- Syed Raza Abbas Zaidi (2024)
Nade Ali asal mein yeh hi to he yaad e Ali
wajd mein jab bhi tera naam mein laita hon Ali
baithy baithy hi Najaf ghoomta rehta hon Ali
dil dhadakne ki sadao mein bhi sunta hu Ali
ae mere maula Ali yeh mohabbat teri
raah jaisi bhi ho mujhko nahi girnay deti
khaybari jung mein chaleeswa din aaya to
kaha Allah ne jibrael nabi se kehdo
woh jo Mazhar hai ajaaeb ka pukaro Usko
jab Ali aayega sab badal jaayegaa
jeet jaoge abhi jung parho mere nabi
rasta neel mein Moosa ko dikha deta hai
kashtie Nooh se tufaan hata deta hai
aur kahin naar ko gulzaar bana deta hai
hazrat e Adam se Mustafa tak sab ke
kaam aaya he yahi vird jahan jisne padhi
mera andaaz malangana banade Maula
jo tujhe dekhle woh dana banade Maula
mujhkoo Behlol sa deewana bana day Maula
ishq itna he mujhe mere maula tujse
mere seenay mein hai dil aur hai us dil pay likhi
khoya rehta hon shab o roz teri yaado mein
zindagi ban ke tu basta he meri saanson mein
dil laga rehta hai har waqt teri baton mein
aisa lagta he mujhe sath he tu mere
teri yaado se nikalny nahi deti hai kabhi
nezah Akbar ke kaleje se nikala to parhi
teer be sher ki gardan se jo khincha to parhi
aik gathrhi mein jo qasim ko sameta to parhi
laasha jab aun o mohammad ka uthaya to parhi
kat gaye haath gira ghoday se jab yaad e Ali
Shah lashay pay gaye parhte hue Nade Ali
algaraz Sheh ka gala Shimr ne jab kaata
kuch qadam dur se ro rokay behan padti rahi
pohnchain darbaar ke darwazay pay Zainab jis dam
khaak pay aise giri phir nahi uth paye qadam
yaad baba ki jab aayi to hui ankhen num
rokay Zainab ne kaha ho kahan ae baba
jab madad ke liye baba ko pukara to parhi
bediyon par jo girati rahi pani lakar
jo behan shaam tak aayi thi tamanche khakar
qaid se jo nahi ja paayi rihayi paker
uss behan ka laasha qabr mein jab rakha
uss ghari sayyade Sajjad ke honton par thi
jisske seenay mein he gham Zahra (s.a) ke ujrre ghar ka
bas woh darwaish he zeeshan o Raza iss dar ka
uss pay rehta hai karam shaam o sehar Haider ka
Ya hussaina kehna gham mein rotay rehna
Apne saaye mein azadaron tumhe rakhegi