Karo matam Hussain ka

- Shahid Baltistani (2024)


karo maatam Hussain ka

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

farsh bichaa lo halqa bana lo
yeh keh raha hai mahe Azaa

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain

yeh azadari taaziya daari Zahra ke ghar se hai wafadaari
ansoo baha kar nohay suna kar karte rahengey ye pursa daari
jab tak hamari sansen hain baqi dil se yeh gham na hoga juda

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain

yeh jo hamaray ghar par alam hai shahe wafa ka hum par karam hai
saaye mein is ke maatam karaingay jitna hamaray seenon dam hai
farsh Azaa ka bichta rahay ga kehte rahengey hum yeh sada

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain

yeh maatami jo halka laga hai thok ke seenah yeh keh raha hai
maatam se hum ko rokay na koi zainab se hum ne wada kiya hai
seenay pay Daaghe maatam saja ke karte rahengey wada wafa

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain

ehley haram ko aur un ke gham ko bhool na jana tum is karam ko
jis ne khuda se manga tha ghazi us fatima ne manga hai hum ko
hai khush naseebi hum hai hussaini aur hain duaye khayrunnisa

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain

Zahra hon Raazi maatam ho aisa jo is ka haq hai pursa ho waisa
khud ko bhula kar maatam karo tum ae azadaron sharmana kaisa
hai yeh ibadat chhodo nazakat ban kar faqeere karbobala

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain

sun kar bichaao gham ka musalla hayya alal aza hayya alal aza
haath hamaray ban kar namazi karte rahengey seenay pay sajda
baad Iqamat karlo niyat qurbatan shaahe wafa

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain

qaid sitam se paake rihayi har bibi apne pyaron ko roi
us waqt lekin beti Ali ki bachon ko apne bilkul na roi
chhootey se haae do sir jab aaye bibiyon se zainab ne kaha

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain

ghar ghar mein maatam ki jo sada hai yeh ehtijaj karbobala hai
baatil ke mun pay hai ye tamache is ne hi haq ko zindah rakha hai
zeeshan hum ko darwaish gham ko bedaar rakhti hai yeh sada

haan karo maatam Hussain ka
Zahra ke chayn ka
maula Hussain ka maatam karo

Hussain Hussain maula, maula Hussain
Hussain Hussain maula, maula Hussain