Aja mere asghar
- Shabbir and Abbas Tejani (2008)
Aja mere asghar
(Asghar Mere Asghar) x8
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x3
- (Tanhaa hai meri Jaan) x2 (Maa Lori Sunaye) x2
- Abbas ka mansab to saqqayi tha ay dilbar
- Dori teri jhule ki, thaami huwi bethi hu
- Tu pehle pehel tanha, nikla hai kahi ghar se
- Tu nanna mujaahid hay, is dasht mei waahid hai
- Haatho(n) pe padar ke, beteygh gaye ran ko
- Ik baar shahadat ka, har ik ne sharaf paaya
- Bazu tere baba ka aur nanna gala tera
- Inkaar aasmaa(n) ko, razi zamee(n) nahi thi
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2
Woh rehgaye darya par, (mashkiza hai kaandhe par) x2
Kyu(n) pani nahi pikar, tum lot ke ghar aaye
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2
Ghar jaate parindo(n) ko, (ay laal mei takti hu) x2
Aaja meri godi mei, haatho(n) ko hu(n) phelaaye
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2
Maydaa(n) mei jo insaa(n) hay, (dil unke hay patthar se) x2
Aise kisi patthar se, thokar na kahi khaaye
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2
Qirdaar ka ghazi hai, (afkaar ka zaahid hai) x2
Teywar Ali Akbar ke sab tujhme simat aaye
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2
Aabad kiya maqtal, (suna kiya aanghan ko) x2
Ab yaad teri beta, Dilko mere tarpaaye
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2
Do baar shahadat ka, (sehra tere sar aaya) x2
Tujh jaisa bahaddur ab, Dunya mujhe dikhlaaye
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2
Ik teer ne ay beta, (ik wakht may hai cheyda) x2
Us waqt bhi tum beta, honto pe hansi laaye
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2
"Rehan" khoon-e-asghar, (surkhi nabi ke dee(n) ki) x2
Chehre pe mal ke sarwar, khayme mei lot aaye
(Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye) x2