Mai laash uthau ya teri qabr banau

- Shadman Raza (2024)


Hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar
mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n

rakh bhi to nahi sakta teri laash zamee per
mai laash uthau'n ya teri kabr banau'n...

1. Rakhunga zamee’n per jo tujhe mere jiyale
hai garm zamee’n jism pe pad jayenge chaale
shabbir ko ab tu hi bata hasliyo wale
khud sambla nahi jaata tujhe kaise sambhale
asghar ko kaha shaah ne seene se lagakar

mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n...

hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar
mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n

2. Ye baat alag hai ke taraste ho kafan ko
dafnana zaroori hai bohot nanhe badan ko
warna ye laee'n kardenge pamaal badan ko
maa teri na seh payengi is ranjo mahan ko
fir rote rahe derr talak shaah ye kehkar

mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n...

hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar
mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n

3. Hai yeh bhi khabar qabr mein na chayn milega
hai garm zamee'n garm hawa jism jalega
paani ke bina dhoop ki shiddat na sahega
gar dafn na hopaya to godho'n se rundhega
laya hun tujhe isliye daaman me chupa kar

mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n...

hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar
mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n

4. Ankho'n mein andhera hai nazar kuch nahi aata
tooti hai kamar baith ke uttha nahi jata
zanoo pe sulaa kar mai tujhe lori sunata
ek haath se fir beta teri qabr banata
majboor hun ab uth bhi nahi sakta mai gir kar

mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n...

hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar
mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n

5. Ek boond hi paani to faqat maang raha tha
sookha huwa sehroz se nanha sa gala tha
jo teer teri nanhi si gardan pe laga tha
wo teer mere laal tere qadd se bada tha
paani na diya qatl tujhe kar diya asghar

mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n...

hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar
mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n

6. Hai phool sa nazuk ye tera chand sa chehra
kis dilse dabaunga isse khaak me beta   
mar jaunga sadme se yahi'n baap hun tera
aajayega us waqt mere muu ko kaleja
dalunga tere rukh pe jo mai ret utha kar

mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n...

hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar
mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n

7. Al kissa qamar qabr banane lage sarwar
asghar ko utha lete the rakh rakh ke zamee per
aye shadma'n kehte the ajab waqt hai hum per
bekafn hi dafnana padega tujhe asghar
ab taab nahi baaqi mere jism ke ander

mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n...

hai jalti zamee'n tu hi bata aye mere asghar
mai laash uthau'n ya teri qabr banau'n

Aye mere laal meri jaa'n, meri jaan asghar..(2)