Zakhmi Hai Sakina
- Farhan (ALI WARIS) (2024)
Baba
Mere Baba
Baba
Mere Baba
Mere Baba
Baba
Chalna Chahoon To Chala Bhi Nahi Jata
Paon Zakhmi Yeh Uthta Hi Nahi Mera
Sona Chahoon To Soya Bhi Nahi Jata
Pusht Zakhmi Hai Zakhmo Se Hai Khoo Behta
Saans Leti Hoon To Dukhti Hain Pasliyan
Dadi Zahra(s.a.) Ki Tarha
Tooti Hain Pasliyan
Baba
Rukhsar Mere Zakhmi
Kaano Se Lahoo Jari
Bunde Bhi Chinay Mere
Kurta Bhi Jala Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
1. Dhoondti Phirti Thi Mein Aap Ka Lasha Baba
Ek Zalim Ne Mujhe Rok Ke Mujhse Poocha
Dhoondti Kis Ko Hai Baba Ka Tere Naam Hai Kya
Mere Baba Hain Hussain Ibn e Ali Meine Kaha
Phir Ghaiz Mein Woh Aaya
Chehre Pe Mujhe Mara
Reti Pe Gira Daala
Mein Kehti Rahi Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
2. Raah Mein Chalte Hue Qafla Thehraya Gaya
Pani Le Kar Jo Wahan Shimre Laeen Aaya Tha
Apne Lashkar Ko Wahan Pani Se Sayraab Kya
Pani Dikhla Ke Mujhe Sara Wahin Phenk Diya
Phir Hans Ke Woh Kehta Tha
Pyasa Tujhe Rakhunga
Balon Ko Mere Khencha
Or Khoon Resa Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
3. Pusht Zakhmi Hui Sajjad Ki To Meine Kaha
Haay Maaro Na Isay Bhai Hai Bemaar Mera
Sun Ke Aawaz Meri Shimr Meri Samt Barha
Bhai Ko Chor Diya Phir Woh Sitam Mujh Pe Kya
Mara Mujhe Tamacha
Chehre Se Lahoo Nikla
Woh Haath Sitamgar Ka
Bhaari Tha Bada Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
4. Kha Ke Zalim Ke Tamache Mujhe Ghash Aata Tha
Phir Tamacho Se Hi Woh Hosh Mein Le Aata Tha
Hans Ke Kehta Tha Bula Baba Ko Ammu Ko Bula
Jitna Tu Roye Gi Utna Hi Tujhe Marunga
Phir Dil Mera Ghabraya
Or Jism Bhi Tharraya
Yeh Haal Mera Dekha
Na Reham Kya Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
5. Mera Nanha Sa Gala Rassi Se Bandhwaya Gaya
Mujh Ko Panjo Pe Kabhi Kaanto Pe Chalwaya Gaya
Tez Chaltay Hue Naqoo Se Bhi Girwaya Gaya
Sar Ba Rehna Mujhe Bazaar Mein Phirwaya Gaya
Thi Itni Thakan Baba
Paon Bhi Na Uthta Tha
Us Waqt Jo Ghash Aaya
Aise Jagaya Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
6. Jab Mein Zindan Se Rehaye kK Khabar Paoungi
Dadi Zahra(s.a.) Ki Mein Turbat Pe Chali Jaoungi
Apni Tooti Hui Pasli Unhe Dikhlaungi
Chaar Saala Mein Zaeefa Hoon Yeh Batlaongi
Hum Dono Hain Mazlooma
Ek Jaisa Hai Ghum Apna
Zalim Ne Jo Rulwaya
Dono Ne Kaha Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
7.Kaisa Woh Mazhar o Farhan Tha Ghum Ka Manzar
Qaid Khanay Mein Sakina(s.a.) Ko Mila Baba Ka Sar
Roi Kuch Der Woh Muh Baba Ke Muh Per Rakh Kar
Bas Yehi Kehte Huay Kar Gayi Duniya Se Safar
Yeh Aakhri Jumla Tha
Ab Sabr Nahi Hota
Sar Ronay Laga Sheh Ka
Beti(s.a.) Ne Kaha Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Haay Itna Mujhe Mara
Baba
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba
Mere Baba