Akhri Waar
- Syed Raza Abbas Zaidi (2024)
Ran Main Shabbir Ko Zibha Kartay Howay Shimar Ne Khud Suna
Akhri Waar Tak
Pyase Shabbir Kay Zakhmi Honton Pe Tha Naam Abbas Ka
Akhri Waar Tak
1) Zair e Khanjar Tha Bhai Ka Sookha Gala
Kuch Qadam Door Thi Zainab e Aliya
Bhai Kehta Raha Lout Jao Behan
Khushk Gardan Pe Jis Waqt Khanjar Chala
Dekh Kar Pehla Waar Ayse Zainab Giri
Shimr Hasta Raha
Akhri Waar Tak
2) Youn To Sattar Qadam Pe The Zainab Khadi
Kuch Qadam Agay Bali Sakina Bhi Thi
Apne Baba Kay Seene Pe Soti The Jo
Ladkhadatay Howay Khak Par Gigayi
Baap Ko Dekh Kar Beti Roti Rahi Shimr Seene Pe Tha
Akhri Waar Tak
3) Khainchta Tha Kabhi Resh Shabbir Ke
Marta Tha Wo Hans Kar Tamacha Kbhi
Paon Rakhta Tha Zakhmon Pe Shabbir Kay
Or Kabhe Jism Per Marta Tha Churi
Khoon He Khoon Tha Zakhm He Zakhm Thay
Itna Mara Gaya
Akhri Waar Tak
4) Shimr Se Shah Ka Jab Gala Na Kata
Pas Sanaan Ibne Anas Agaya
Mar Kar Neza Shabbir Kay Halq Main
Ayse Khaincha Hui Zulm Ke Inteha
Agaye Sath Main Sari Sookhi Ragain
Neza Uljha Raha
Akhri Waar Tak
5) Bughz Kitna Tha Ibne Ali Se Usay
Shimr Jaldi Main Tha Pehle Hi Waar Se
Ran Main Wo Dono Hathon Se Masroof Tha
Ek Pyase Ka Sar Kaatnay Kay Liye
Uske Ek Hath Main Tegh Aur Doosra Hath Balon Main Tha
Akhri Waar Tak
6) Ek Maa God Main Rakh Kay Betay Ka Sar
Kab Say Bethi Hai Yay Shimr Ko Kab Khabar
Sath Shabbir Kay Fatima Ka Lahoo
Beh Kay Khanjar Se Girta Raha Khaak Per
Kat Gaye Ungliyan Phir Bhi Sar Na Bacha
Hath Maa Ne Rakha
Akhri Waar Tak
7) Aye Raza Or Zeeshan Dekho Zara
Karbala Main Hai Moujud Wo Qatl Gaah
Baith Kar Aa Rotay Hain Zaer Jahan
Kal Wahan Shah Ka Koi Apna Na Tha
Sab Tamashai Thay Dekhtay Hi Rahe
Sheh Ka Kat-ta Gala
Akhri Waar Tak