Sukha gala asghar ka

- Shahid Baltistani (2024)


Aye maa ke ladle, baba ke sahare..(2)
behno ke dulare, aye cheh mahine wale

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka
Muh khula reh gaya..(2)
khoo'n behta raha Asghar ka

1. Teer jab khaicha to muh pher liya rote hue..(2)
zakhm shabbir se..(2)
dekha na gaya Asghar ka

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)

2. Aasma'n kaap gaya aur zamee'n rone lagi..(2)
baap ne chehre pe..(2)
jab khoon mala Asghar ka

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)

3. Pusht ke chhalo se tarr hone lagi jalti zamee'n..(2)
Shah ne qabr mein..(2)
jab laasha rakha Asghar ka

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)

4. Teer ke baad Lahad mein use naiza maara..(2)
haye naiza maara
qatl ek roz mein..(2)
do baar hua Asghar ka

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)

5. Haaye, 
Saat baar aage badhe, peeche hate Sheh lekin..(3)
laasha khaimo me na..(2)
le jaaya gaya Asghar ka

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)

6. Khaicha naize se badan aur zamee'n par rakh kar
has ke zalim ne..(2)
gala kaat liya Asghar ka

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)

7. Haaye,
Ek khilone ki Tarah khela uchala, phaika..(2)
shaam ke bachho ko..(2)
sar jab bhi mila Asghar ka

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)

8. Kaise Zeeshan baya'n koi kare pyas uski..(2)
khushk lab hogaye..(2)
jab naam liya Asghar ka

Teer se aise chhida sukha gala Asghar ka..(2)