Aye meri jaan Akbar
- Shahid Baltistani (2024)
Jab ran ko chale khaime se hum-shakl e payambar
Laila ne kaha bete ko seene se lagakar
Aye meri jaan Akbar
Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana
baba se chupana
Laila ne kaha rokar jab dard ho seene mein
tum maa ko batana
Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana
baba se chupana
1. Laashe utha utha ke ab thak chuke hai baba
atthara saal wala tu hai jawan beta
mai janti hu akbar, mushkil hai zaeefi mein
tera laash uthana
2. Mar jaye jiska beta woh kaise ghum uthaye
tujhse lipat ke ran mein shabbir mar na jaye
is maa ke liye akbar, asaa'n nahi khaimo mein
do laasho ko lana
3. Rakhe khuda salamat akbar teri jawani
bus tu hi Mustafa ki hai akhri nishani
takte hai tera chehra, jab bhi tere baba ko
yaad aate hai nana
4. Barchi ka dard seh kar thehroge kaise zee'n par
jab dil pe hath rakh kar girne lago zamee'n par
mai tumko sambhalungi, godi mein uthalungi
tum mujhko bulana
5. Aye laal sabr karna naa dard se tadapna
baba ke saamne tum mat aediya'n ragadna
tum bete ho Laila ke, woh dilbar e Zahra hai
yeh bhool na jana
6. Jaate hue phuphi se ek baar aur milna
armaan dil me koi reh jaye na adhura
Zainab ki tamanna hai, beta tere maathe par
sehra hai sajana
7. Jab Sughra yaad aayi ro ro ke maa pukari
hai muntazir watan mein kabse behen tumhari
yeh bhool nahi jana, Sughra se abhi tumne
wada hai nibhana
8. Zeeshan Abidi woh maa gir gayi zamee'n par
khaime se jab jawa'n ko rukhsat kiya ye kehkar
jab barchi koi maare, is chand se seene se
na dhaal hatana
Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana
baba se chupana