Sayyada Fatemah
- Shabbir and Abbas Tejani (2008)
Sayyada Fatemah
(Sayada fatemah) x12
- Shohar wali, pidar hai payambar, pisar imam
- Duniya ko khalq karke, Allah ne kaha,
- Bibi tumhare dar se humko hai aasra
- Kehti rahi mei fatema, bint-e-rasool hu(n)
- Tutti huwi kamar hai, mohsin guzar gaye
- Zainab ko ye wasiyyat deti hai fatema
- Zahra ka laal tha aur, zalim ki fauj thi
- Balo(n) se saaf karti, zahra woh sar zami(n)
- Beparda qafla jab, aale rasul ka,
- "Shabbir ki dua hai" Abbas ki dua
Jis bibi ka nabi pe, lazim tha ehtaraam
Ummat ko baad-e-ehmad, ayi na kyu(n) haya
(Sayyada fatemah) x8
Sara jahaan tere, sadqe me hai bana
Uncha hai kitna bibi, ye martaba tera
(Sayyada fatemah) x8
Zainab ka waasta hay sunlijiye dua
Miljaye roze hashr, chadar ki bas hawa
(Sayyada fatemah) x8
Bagh-e-Fidak ko cheen ke khush ho rahe ho kyun
Bint-e-rasool ki hai, kya hai yahi jaza
(Sayyada fatemah) x8
Ummat ne mujh pe baba kya kya sitam kiye
Qabre rasool par yu(n) karti rahi buka
(Sayyada fatemah) x8
Bazar-e-sham o kufa ka hoga marhala,
Deene khuda ka us dam, tum hogi aasra
(Sayyada fatemah) x8
Chaaro(n) taraf se aayi, barsaat teer ki,
Gore se jab gire to, sarwar ne di sada
(Sayyada fatemah) x8
Jis khaak pe ghiregi, shabbir ki jabi(n)
Kya maa ke dil pe ghuzri, jab sheh ka sar kataa
(Sayyada fatemah) x8
Karbobala me lut ke, zindan ko chala
Zainab ko har qadam par, deti thi hosla
(Sayyada fatemah) x8
Jeeteji nawha dono, parhte rahe tera
Marte huwe bhi lab par, bas ho yahi sadaa
(Sayyada fatemah) x8