Pyaasi Sakina
- Shahid Baltistani (2024)
Qaid khane mein ye ek roz Sakina ne kaha
manzile pyaas ki kitni hai batao bhaiyya
Haye Abid ne kaha sunke Sakina ki sada
pyaas ki char(4) manazil hai, aye pyasi behna
Yeh boli Sakina, sunao na bhai
hai kya pyaas mujhko, batao na bhai
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
1. Kaha roke Abid ne, aye pyasi behna
nazar aaye jis dum dhua'n hi dhua'n sa
hai yeh pyaas ki pehli manzil Sakina
Haye,
Yeh sunkar Sakina pukari tadap ke
suna tha yeh Qasim ke sukhe labo'n se
chacha jaan mai itna pyasa hu ke ab
dhua'n chha raha hai nigaho ke aage
jo us waqt Qasim pe mushkil thi bhaiyya
wahi pyaas ki pehli manzil thi bhaiyya
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
2. Ho lab tishnagi se ye halat badan ki
chipak jaye taalu se sukhi zuba'n bhi
hai yeh dusri manzil e pyaas bibi
Haye,
Yeh manzil bhi dekhi hai baba pe maine
kaha pyase akbar ne jab ran se aake
zuba'n rakhke baba ke sukhe dahan mein
mere bhaiyya akbar tadap kar pukare
zuba'n khushk hai ab, dahan mein hai kaa'nte
mere baba mujhse zeyada hai pyaase
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
3. Kabhi pyaasi machli ki halat suni hai
woh jab baar baar apna muh kholti ai
yehi teesri manzil e tishnagi
Haye,
Yeh sunte hi Abid se boli Sakina
yehi haal tha mere Asghar ka bhaiyya
litaya tha baba ne jalti zamee'n par
tadapte hue jab woh sakit hua tha
kabhi kholta tha woh pyaase labo'n ko
kabhi band karta tha sukhe labo'n ko
4. Kaha phir yeh Sajjad ne Shahzadi
na baqi rahe jab badan mein nami bhi
hai yeh akhri manzil e pyaas bibi
haaye, haaye
Hai is manzil e pyaas par yeh behen bhi
nami se mehroom mera badan bhi
mere haath ab mere bus mein nahi hai
hai paiwast mere gale me rasan bhi
aye bhai zyada na jee paungi ab
mai baba se milne chali jaungi ab
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
5. Jo Sajjad se pyaas ka puchti thi
woh raat aa gayi chal basi jab woh pyaasi
hilata raha uske shano ko Abid
magar bhai se woh Sakina na uththi
lipatkar woh soyi hai baba ke sar se
bohot thak chuki pyaas ke is safar se
Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2)
6. Sunau mai Zeeshan manzar woh kaise
rasan bhi na khul payi haatho se uske
Lahad mein Sakina ke laashe ko rakhke
kaha roke Abid ne baba ke sar se
aye mazloom beti ke mazloom baba
tumhare hawale tumhari Sakina
tumhare hawale tumhari Sakina