Main Alamdar
- Nadeem Sarwar (2024)
Alamdar Alamdar
Dekho Wo Tarayi Main Hai EK Mard E Wafadar
Alamdar Alamdar
Rakhe Hai Alam Dosh Pe Pyaso Ka Taraf Dar
Alamdar Alamdar
Dekho Wo Tarayi Main Hai EK Mard E Wafadar
Rakhe Hai Alam Dosh Pe Pyaso Ka Taraf Dar
Hai Goonji Is He Shair Ki Ghazi Ki Ye Lalkaar
Gar Ijazat Dy Hussain Arsh Hila Sakta Hoon
Is Alam Se Nayi Tareek Bana Sakta Hoon
Han Main Alamdar Han Main Alamdar
Main Hoon Abbas E Ali
Main Wafaon Ka Wali
Baat Jab Meri Chali
Goonj Utha Ali Ali
Han Meri Wafa Ali
Aada Ali Sada Ali
Han Meri Aba Ali
Qaba Ali Nawa Ali
Main Agar Chahon Tou
Ek Hashr Utha Sakta Hoon
Jalwa E Haider E Karar Dikha Sakta Hoon
Han Main Alamdar Han Main Alamdar
Abbas Ya Abbas Ya Alamdar
Main Alamdar E Hussain
Main Hoon Salar E Hussain
Main Wafadar E Hussain
Main Hoon Ghamkhwar E Hussain
Han Mera Shah E Umam
Jan O Dilam Hussain Hussain
Han Mera Jah Ho Hasham
Mera Bharam Hussain Hussain
Shan E Shabir Hai Kya Aj Bata Sakta Hoon
Tumko Adab E Hussaini Main Sikha Sakta Hoon
Han Main Alamdar Han Main Alamdar
Ye Muqadar Hai Mera
Ye Alam Mujh Ko Mila
Main Alamdar E Wafa
Haider E Karbobala
Ye Alam Khula Rahe
Utha Rahe Saja Rahe
Ye Alam Jama Rahe
Data Rahe Sada Rahe
Is He Dariya Pe Alam Apna Saja Sakta Hoon
Aur Kate Hathon Se Parcham Ye Utha Sakta Hoon
Han Main Alamdar Han Main Alamdar
Abbas Ya Abbas Ya Alamdar
Main Tou Aya He Nahi
Jang Ladne Ke Liye
Mashk Bharni Hai Mujhe
Pyase Bachon Ke Liye
Han Ye Wada Hai Sakina Se Nibahna Hai Mujhe
Pani Lena Hai Kisi Se Bhi Na Larna Hai Mujhe
Mujh Ko Larna Jo Para Kya Hoon Bata Sakta Hoon
Ghaat Se Lakhon Ke Lashkar Ko Bhaga Sakta Hoon
Han Main Alamdar Han Main Alamdar
Aya Dariya Pe Jari
Kanp Uthi Foj E Shaki
Ye Hai Abbas E Jari
Ya Hai Waqe Ali
Bhaag Uthi Foj E Jafa
Ghazi Jidhar Jidhar Mura
Jiska Mun Jidhar Utha
Bhaga Gira Nhi Ruka
Bola Abbas E Jari Taig Utha Sakta Hoon
Karbala Main Tumhe Sifeen Dikha Sakta Hoon
Han Main Alamdar Han Main Alamdar
Abbas Ya Abbas Ya Alamdar
Bhar Ke Mashkiza Chala
Jab Alamdar E Wafa
Agayi Foj E Jafa
Ghir Gaya Mola Mera
Han Wo Mashkiza Cheda
Bazu Kata Pani Baha
Ghazi Raiti Pe Gira
Shor E Qayamat Tha Bapa
Ayi Ghazi Ki Sada Jan Luta Sakta Hoon
Kese Pani Ke Bina Khaimon Main Jaa Sakta Hoon
Han Main Alamdar Han Main Alamdar
Gar Ijazat Dy Hussain Arsh Hila Sakta Hoon
Is Alam Se Nayi Tareek Bana Sakta Hoon
Han Main Alamdar Han Main Alamdar
Abbas Ya Abbas Ya Alamdar