Amad amad harame shah
- Mir Hasan Mir (2024)
amad amad haram e shah ki darbar main hai
subh se jashan ka ghul sham ke bazar main hai
shor e fariyaad o buqa itrat e athaar main hai
amad amad haram e shah ki darbar main hai
hukum aya hai aseeron ko barabar maro
jashan ka waqt hai dure inhein hans kar maro
ik manadi ye nida deta hai aao logo
baaghi aaye hain inhein shuk se pathar maro
haye khoon main duba huwa sadaat ka har chehra hai
girya kar sakte nahi aah pe bhi pehra hai
sang bari ki aziyat bhi badi hai lekin
zakham sadke ki khajooron ka bohat gehra hai
haye dekh kar aal e muhammad ko hanse jate hain
log har mod par bas tane jate hain
chadaren kya hain kafan bhi nahi deta koi
zinda lashe liye sajjad chale jate hain
mustakil aal e muhammad main azadari hai
aur beemar ki ankhon se lahu jari hai
berida sham ke bazar main aate hain harm
aaisa lagta hai kisi eid ki tayyari hai
haye jholi bhar bhar ke sitamgar hain laye pathar
patharon ne bhi hain hathon main uthaye pathar
nok e naiza se gira khak pe sar asghar ka
are chhote bachon se sakina ne jo khaye pathar
bab e saat pe bhi zakhmo se bhare hain qaidi
hai waram paon pe paidal jo chale hain qaidi
are log tashheer ke khanjar liye aamadah hain
teen din ho gaye maktal main khare hain qaidi
haye darbar main jane ki ghadi kaisi thi
honsla deti rahi sab ko ali ki beti
saat sau kursi nashee door se dekhe jis dam
thaam kar apni qamar bint e ali baith gai
wada beti se nibhane ke liye aaye ali
sani e zahra takallum paye tazeem uthi
is gharibi pe tadapne lagi rooh e zehra
baap ke sath jo beti sar e darbar gai