Abbas ko pukaro

- Farhan (ALI WARIS) (2024)


Ghazi to hai na, unse hi kehna..(3)
Aye duniya walo, darr darr na jao
kya ghum hai tumko aakar sunao..(2)
kehta hai alam humse..
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do
mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do

Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2)
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se..(2)
Abbas ko pukaro..(3)

1. Duniya se nahi mango, kya degi tumhe duniya
Allah ne rakha hai ummeed ka ek rasta
dehleez se ghazi ki hojao jo wabasta..(2)
do wasta Zainab ka phir kaam bane sabka
Abbas ko pukaro

Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2)
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

2. Dil toota hua ho to apno ko bulata hai
dukh apne to har koi apno se hi kehta hai
apno ki pareshani apna hi samajhta hai..(2)
woh sabka sahara hai apno se bhi pyara hai
Abbas ko pukaro

Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do
mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

3. Ek pyasi bhatiji ki ammu se guzarish hai
hum sabki duao mein yeh mashk sifarish hai
samjho to atao ki din raat jo barish hai..(2)
radd hogi dua kaise ammu hai sakina ke
Abbas ko pukaro

Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2)
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

4. Muh mod liya sabne kya chhod diya sabne
halat se tang aake dil chota nahi karte
Abbas ki surat mein ek aas to baqi hai..(2)
har ghum se nikalega seene se laga lega
Abbas ko pukaro

Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do
mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

5. Jo dil pe guzarti hai har baat batani hai
beemari pareshani sab inko sunani hai
maine to har ek mannat Abbas se mani hai..(2)
mayoos na jaoge jo manga wo paoge
Abbas ko pukaro

Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2)
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

6. Tufan e hawa jisse ghabrana nahi logo
aghyar ki chaukhat pe tum jana nahi logo
tum ne mere ghazi ko pehchana nahi logo..(2)
kar dega meherbani jaisi ho pareshani
Abbas ko pukaro

Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do
mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

7. Har dil ki murado ko sunta hai mera ghazi
jo manga aqeede se deta hai mera ghazi
saath apne muhibbo ke rehta hai mera ghazi..(2)
taqdeer ki ho pasti aajaye jo tang dasti
Abbas ko pukaro

Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2)
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

8. Maslak hai wafadari fitrat mein jalali hai
yeh apni sakhawat mein duniya mein misali hai
kab baat faqiro ki is sher ne taali hai..(2)
lab hilne nahi paye aur jholiya'n bhar jaye
Abbas ko pukaro

Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do
mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)

9. Farhan aqeeda yeh maa baap se paaya hai
Abbas ki chaukhat pe sar sab ne jhukaya hai
likh likhke zamane ko mazhar ne bataya hai..(2)
aajaye koi mushkil ghabraye bohot jab dil
Abbas ko pukaro

Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2)
kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se
Abbas ko pukaro..(2)
 
Ghazi to hai na, unse hi kehna
Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do
mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do..(3)