Ali Jaan e Jahan
- Farhan (ALI WARIS) (2024)
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
Ali....
Jaan e Jaha'n
Dil yeh kehta hai..
Dil yeh kehta hai tere ishq mein kho jau Ali
Neend aaye shab e hijrat si to so jau Ali
Meri to rooh ne bhi
Meri to rooh ne bhi teri hi bay'at ki hai
Chod ke saara jaha'n
Chod ke saara jaha'n
Chod ke saara jaha'n bus tera hojau Ali
Peeran e peer Ali, mera dastageer Ali..(2)
Jaan e Jaha'n
Aqaa e mann Ali, Maula e mann Ali..
Jaan e Jaha'n.. Ali Jaan e Jaha'n
1. Sura e Al-hamd se, sura e wan naas tak
saare ke saare Ali Akbar o Abbas tak
naad e Ali padhta jaa, ghum na rahe paas tak..(2)
deen o eeman Ali, dil aur jaan Ali..(2)
Jaan e Jaha'n
Aqaa e mann Ali, Maula e mann Ali..
Jaan e Jaha'n.. Ali Jaan e Jaha'n
2. Maula yeh roza tera, noor ala noor hai
shehr e najaf ki feza, noor ala noor hai
aake yaha'n dil mera, noor ala noor hai
tera deedar Ali, karlu ek baar Ali..(2)
Jaan e Jaha'n
Aqaa e mann Ali, Maula e mann Ali..
Jaan e Jaha'n.. Ali Jaan e Jaha'n
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
Aql mein aata nahi.. Ya Ali Ya Ali
Qalb se jaata nahi.. Ya Ali Ya Ali
Aql mein aata nahi, qalb se jaata nahi
tere siwa yaa Ali koi bhi bhata nahi..(2)
tu banata hai mere kaam
Ali jaan e jaha'n
Zindagi saari tere naam
Ali jaan e jaha'n
Wird karta hu subh o shaam
Ali jaan e jaha'n
de mujhe ishq ka in'aam
Ali jaan e jaha'n
Jaan e Jaha'n
Ali Ali, Ali Ali, Ali Ali
Jaan e Jaha'n
Ali Ali, Ali Ali, Ali Ali
Peeran e peer Ali, mera dastageer Ali
Jaan e Jaha'n
Aqaa e mann Ali, Maula e mann Ali..
Jaan e Jaha'n.. Ali Jaan e Jaha'n
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
3. Paaya hai phir usne kya jisne tujhe kho diya
khoya hai phir usne kya, jisne tujhe paa liya
misle qalandar hua jisne yeh sauda kiya..(2)
tu hai wo raaz Ali, jo de parwaz Ali..(2)
Jaan e Jaha'n
Aqaa e mann Ali, Maula e mann Ali..
Jaan e Jaha'n.. Ali Jaan e Jaha'n
Kehte hai tere naukar dil ke andar hai tera ghar
yeh behrobar, yeh samandar, yeh wali aur yeh qalandar
kya faqeer aur kya tawangar
Ya Ali.. Ali Ali
Hai yeh seene mein hulchul, mere har pal
dil bole chal mai najaf ko jau paidal
taiy karke sehra aur jungle
bus tujh pe hi hai tawakkal
Ya Ali.. Ali Ali
Maula Ali
hai tu hi rabb ka wali
Maula Ali
meri qismat ho bhali
Maula Ali
ghumu najaf ki gali
Ya Ali
Maula Ali
mai tera tu hai mera
Maula Ali
dil mein tera basera
Maula Ali
tu hai roshan sawera
Ya Ali.. Ali Ali
Tujhpe mera dil bhi fida
jism mera jaa'n bhi fida
jism jaa'n yeh dil hai kya
yeh rooh bhi fida
Peeran e peer Ali, peeran e peer Ali
mera dastageer Ali, mera dastageer Ali
Jaan e Jaha'n
Aqaa e mann Ali, Maula e mann Ali..
Jaan e Jaha'n.. Ali Jaan e Jaha'n
4. Aaye jo mushkil koi hai yeh wazifa mera
hai yeh aadat meri hai yeh wazifa mera
paanch namazo mein bhi hai yeh wazifa mera
mera wakeel Ali, rab ki daleel Ali..(2)
Jaan e Jaha'n
Aqaa e mann Ali, Maula e mann Ali..
Jaan e Jaha'n.. Ali Jaan e Jaha'n
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
5. Daulat e duniya hai kya, sirf Ali chahiye
maine khuda se kaha, sirf Ali chahiye
mera lahu bol utha, sirf Ali chahiye
khuld nahi Aye khuda, sirf Ali chahiye
kuch nahi iske siwa, sirf Ali chahiye
karde mujhe tu ataa, sirf Ali chahiye..(2)
dil mein utaar Ali, bus ek baar Ali..(2)
Jaan e Jaha'n
Aqaa e mann Ali, Maula e mann Ali..
Jaan e Jaha'n.. Ali Jaan e Jaha'n
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
Ali Ali, Ali Ali Maula Ali, Ali Ali
6. Duniya ne jaana nahi tujhko magar
haaye Ali
rota tha tanhaiyo mein baith kar
haaye Ali
roya kabhi qabr e Sayyeda par
haaye Ali
sajde mein zakhmi hua tera sar
haaye Ali
karbobala mein luta tera ghar
bhoole na ehle azaa, haaye Ali, haaye Ali
tujhpe hui jo jafa, haaye Ali, haaye Ali
bhoole na ehle azaa, tujhpe hui jo jafa
pursa hai maula tujhe Mazhar o Farhan ka
Ya Maqtool - Ali Ali
Ya mazloom - Ali Ali
Ya mehroom - Ali Ali
Ya Maula - Ali Ali
Ya Haider - Ali Ali
Ya Rahbar - Ali Ali
Ya Aaqa - Ali Ali
Ya Maula - Ali Ali
Ya Maula - Ali Ali
Ya Maula - Ali Ali
Ya Maula - Ali Ali..(3)