Ya makhduma ya Fizza

- Shabbir and Abbas Tejani (2006)


Ya makhduma ya Fizza

(Shaam, shaam, shaam, shaam) x2

Ham ko bhi sikha

Bibi kaniz-e-sayyeda

Adab-e-wafa

Bibi kaniz-e-sayyeda

Ham ko bhi sikha, adab-e-wafa, tujhe Zainab ka wasta

(Ya makhduma ya fizza) x4

  1. Jitne zainab ke dil pe ghuzre hai,
  2. Gham wo sab tune bhi uthaaye hai,

    Tere bhi sar se chhin gayi chadar,

    Tune bhi taaziyane khaye hai

    (Ya makhduma ya fizza) x2

  3. Bibi kaniz-e-sayyeda,
  4. Zainab ne tujhko maa kahaa

    Tera bohot hai martaba

    (Ya makhduma ya fizza) x4

  5. Jis ghari sheh pe chal rahi thi chhuri,
  6. Teri halat bayaa(n) se bahar thi,

    Teri ankho(n) se khun jaari tha,

    Kehti thi ayiye madad ko ali

    (Ya makhduma ya fizza) x2

  7. Bibi kaniz-e-sayyeda,
  8. Maa banke har shaheed ka,

    Matam kiya hai marhaba

    (Ya makhduma ya fizza) x4

  9. Tu kaneeze batool hai bibi,
  10. Tu duaae rasul hai bibi,

    Tu hai ehle azaa ki shahzaadi,

    Farshe gham ka tu phool hai bibi

    (Ya makhduma ya fizza) x2

  11. Bibi kaniz-e-sayyeda,
  12. Tu bhi agar kare duwa,

    Ttal jaaye sarse har balaa

    (Ya makhduma ya fizza) x4

  13. Waasta tujhko khune asgher ka
  14. Waasta shahe dee(n) ki dukhtar ka

    Humko amno amaa(n) ki dawlat de

    Waasta fatema ka haider ka

    (Ya makhduma ya fizza) x2

  15. Bibi kaniz-e-sayyeda,
  16. Maqrooz momineen ka,

    Hojoye karz bhi adaa

    (Ya makhduma ya fizza) x4

  17. Wo jo be ghar hai unko ghar dede,
  18. Be pisar maao ko pisar dede,

    Jinke aangan me aagayi hai khiza

    Unko sayaa bhara shajar dede

    (Ya makhduma ya fizza) x2

  19. Bibi kaniz-e-sayyeda,
  20. Hum sab tere ghulaam hai

    Humko hai aasra tera

    (Ya makhduma ya fizza) x4

  21. Jitne zainab ke dil pe ghuzre hai,
  22. Gham wo sab tune bhi uthaaye hai,

    Tere bhi sar se chhin gayi chadar,

    Tune bhi taaziyane khaye hai

    (Ya makhduma ya fizza) x2

  23. Bibi kaniz-e-sayyeda,
  24. Tujhpar bhi hogayi jafaa,

    Tera bhi sar khula raha

    (Ya makhduma ya fizza) x4

  25. Tu kaneeze batool hai bibi,
  26. Tu duaae rasul hai bibi,

    Tu hai ehle azaa ki shahzaadi,

    Farshe gham ka tu phool hai bibi

    (Ya makhduma ya fizza) x2

  27. Bibi kaniz-e-sayyeda,
  28. Tu bhi agar kare duwa,

    Ttal jaaye sarse har balaa

    (Ya makhduma ya fizza) x4

  29. Pohnche "rehan" ye salaam mera,
  30. Sheh ki nawha ghari hai kaam mera

    Bibi teri duawo ke sadqe

    Ponche zehra talak kalaam mera

    (Ya makhduma ya fizza) x2

  31. Bibi kaniz-e-sayyeda,

Ye nokri hussain ki,

Karta rahu(n) yuhi sadaa

(Ya makhduma ya fizza) x4