Zindan khul gaya hai
- Rajab Ali Khan (2023)
zindan khul gaya hai sakina watan chalo
sajjad keh ke gir pade choti si qabr par - 2
mazloom aise gir pada turbat pe behan ki
jaisa hussain the gire akbar ki lash par
1. dekho nahi rahi mere hathoon mein ab rasan
jane laga hai qafila ab laut kar watan
lekin tu behan sham mein qaidi hi reh gayi
kha kar tamachay so gayi zindaan ki khak par
2. karta hoon yaad ro ke main manzar woh dard ka
kano ke zakhm par jo tamacha tujhe laga
baba ko tu sina pe sada deti reh gayi
baba sina pe rotay they tab tujh ko dekh kar
3. amma ki tarha tujh ko na mil payi thi rida
baba ki tarha tujh ko kafan bhi na mil saka
pathar bhi khaye sham mein tu ne meri tarha
naqay se gir ke ho gayi teri bhi khum qamar
4. main le ke tujh ko sham se wapis na ja saka
baba ko kya bataon main ab ja ke karbala
kurtay mein dafn kar ke banai teri lehad
abid ko khoon rulaye ga yeh dard umr bhar
5. karbal mein chhin gayi thi tere sar se jo rida
wapas main la chuka hoon usay dekh tu zara
sar par main tere rakhta rida apne hath se
afsos haye sham mein tu na rahi magar
6. amma ke bain sun ke nikalti hai jaan meri
kehti hai umr bhar na woh saye mein jaye gi
kaise uthaon ujadi hoi maa ko tu bata
teri lehad se maa ki bhi hatti nahi nazar
7. woh rukhsat e hussain pe zainab ka imtehaan
aisa he aaj phir se hai zindan ka samaa
sajjad ho rahe hai juda aise behen se
uthte hai ro ke qabr se girte hai qabr par
8. likhoo shahab kis tarha mehshar ka marhala
tha gham ki inteha pe bhi abid ka hosla
zinda behan ki qabr se uth kar chale gaya
ahwal e gham sunanay ko baba ki qabr par