Ya Ali tu hi tu

- Imran Abbas (2024)


Ya Ali - 4

Ya Ali tu hi tu - 2

Ibtada Sura e Alhamd say kerta ho Kalam
Aye Shab e Qadar Teray Sadqay Ata ho Ilham
Ya Ali Teri Madad say you likho tera moqam
tu hi tu charoo teraf deakhnay lagay meray imam
harf ba harf samaat main sama jaye Ali
Main kaho nuqta e ba aur sada aye Ali

Wo Shab e tera rajab aur wo allah ka ghar
janab e baitay khuda bint e asad ka wo safer
hans ka jibraial e ame detay tay dunia ko khabar
ghar main Allah ka utra Abu Talib ka piser
muntazir jis kay nabi tay wo wali aya hai
tot ker kaba bhi kahta tha Ali aya hai

Amad e Mah e Rajab aur teri amad amad
shaid e zat e khudawand ki ashhad amad
nafs e mabood ki amad sir e mabad amad
ghar main yadullah ki sarmad amad
samna johtay khuda o ka ta suchi say
muh kay bal gir perhay but ek teri angrahi say

sansay likhta hai tu amwat raqam kerta hai
loh e mahfooz pay ayat raqam kerta hai
aj or kal ki her ek bat raqam kerta hai
sub kuch allah ka yeahi hath raqam kerta hai
apnay kaba e ka tujay qibla banaya rab nay
amer say phelay ullal amer banaya rab nay

kia qiamat sir e maqtal teri talwar keray
bad e sir sir bhi kabhi andaza e raftar keray
ek he jasay bara bar kay sabhi war keray
malik ul moat ko bhi chalnay main lachar keray
teri shamsheer tu bus apna hadaf deakhti hai
moat tahk ker teray hatho ki teraf deakhti hai

asma walo zamee walo main nata tu hai
toor pay chamka tha jo noor wo jalwa tu hai
jis pay allah ka goma hai wohi banda tu hai
tarjma jo bhi hai toheed e khuda ka tu hai
noor ka dahra soye khak you morhay rakha
tu nay Alhamd ko Walnas say jorhay rakha

such hai firdoos pay kosser pay Ali ka Haq hai
saray sahra pay samandar pay Ali ka Haq hai
Mimber e Shafia e Mahsher pay Ali ka Haq hai
had hai yeah kursi e dawar pay Ali ka Haq hai
Ya Ali jis nay amanat main khayanat ki hai
Teray Ghasib pay tu Allah nay lanat ki hai

hai yeah farman e nabi khair e baria tu hai
her zamanay kay liay meer e zamana tu hai
meri umat main misal e dar e hita tu hai
ya Ali sura e Ikhlas ka chihra tu hai
jasay Quran kay suroo ki talawat kerna
you ibadat hai teray rukh ki ziarat kerna

Teaigh wo Teaigh ka hai adal e ilahi jis say
hath wo hath ka chalti hai khudai jis say
ankh wo ankh kay takta hai khuda bhi jis say
kan wo kan khuda sun lay dohai jis say
pa kay angoshtari saial bhi yeah hi kahta hai
rab say mangi hoi khairat tu hi dayta hai

lay ga Allah ki janib say zamano ka hisab
roho ka jismo ka Akbar subhi nafsoo ka hisab
ba e wilaeat jo howay nam kay sajdoo ka hisab
waqt kay rozo kay ba e waqt kay faqoo ka hisab
istara masnad e toheed sajaye ga tu
hath Allah ki jaga sub say milay ega tu