Tabarra suno
- Miscellaneous (2024)
1 ) Main tabbara hun wo mazloom ibadat main hun
Seenae sabr py utri hue ayat main hun
Daar pr hazrat e mesum ki khitabat main hun
Is liye aaj bhi hr rukh sy salamat main hun
Meri takhleeq hue dushman e zehra k liye
Mot hun aaj bhi main bint e saqeefa k liye
2 ) Haif sad haif k apno ny sataya mjhko
Or islah k parday main chupaya mujhko
Main tasadum hun ye keh keh k rulaya mjhko
Main ibadat tha magar aib bataya mujhko
Naam badnaam jahan sab ny kiya hy mera
Haq prasto ny wahan sath diya hy mera
3 ) khas bando py hi khaliq ki inayat main hun
Main hi masjid hun musala hun ibadat main hun
Khutba e bagh e fidak ki wo ibarat main hun
Jiski zehra hy azan uski iqamat main hun
Khush nasab jitny hain afrad sabhi jnty hain
Mera mayar bilal e habashi janty hain
4 ) chor kr mjhko musaly py jabin kuch bhi nhi
In namazo me agr me hi nhi kuch bhi nhi
Bughz mera hy to makky ki zamee kuch bhi nhi
Gar tabbara hi nhi hy to kahin kuch bhi nhi
Ishq e haider ko tabbary sy junoo milta hy
Mery hony si hi momin ko sukoo milta hy
5 ) qulho Allah mein or surae yaseen mein hun
Jo hy khaliq ka pasandeeda usi deen main hun
Me farishto ki duaon main hun ameen main hun
Tujhko maloom nhi hy k main talqeen main hun
Qabr main jaky ye jano gy tabarra kia hy
Mot k baad ye mano gy tabarra kia hy
6 ) pooch rawi sy riwayat main tabarra kiun hy
Kalma e haq ki shahadat main tabarra kiun hy
Pooch ayat sy k ayat main tabbara kiun hy
Asr e ashoor ziarat me tabbara kiun hy
Dushman e deen ko ye tana e abtar kia hy
Pooch quran sy ye surae kosar kia hy
7 ) ye btao k aqeedy ko bachana hy gunnah
Kia fazail k samandar mai nahana hy gunnah
Dasta’n haq ki zamany ko sunana hy gunah
Kis sy naraz thin zahra ye batana hy gunnah
Aik aik zakhm ka badla to liya jaega
Lakh rokogy tabbara to kiya jaega