Hussain kehte hue

- Syed Mohammad Shah (2025)


chala hun janibe kaaba Hussain kehte hue
khuda se aaj milon ga Hussain kehte huay

sipahi daudtay jatay hain janibe koofa
panah maang rahay thay ke kholo darwaaza
kiya hai ghazi ne hamla Hussain kehte hue

pul-e Siraat ka dar ho to ho bhala kaisay
zamana dekh le aashor karbalaa ja ke
guzarti jati hai duniya Hussain kehte hue

karenge khoon ka maatam baroze aashorah
khuda se hum ko isi wastay to manga gaya
hamein hai maaon ne paala Hussain kehte hue

adhoora chhod ke hajj karbalaa jo aaye thay
khaday hain gird woh bint-e Ali ke khaimay ke
tawaf karte hain poora Hussain kehte hue

kaha Hussain ne marna nahi habib abhi
ke karbalaa mein zaroorat padegi mujh ko teri
habib hogaya zindah Hussain kehte hue

agar ho ahle tawalla mitaao yeh tafriq
namaz ho ya Azaa mil ke honge saare shareek
uthao tum bhi qama ya Hussain kehte hue

yahi waseela hai saari duaon ka behtar
poukaro bhai ko bhai ka vaastaa day kar
Hasan se maang lo sadqa Hussain kehte hue

tamam ghar huwa khushiyon se aaj baagh o bahar
pidar ke samnay boli hai beti pehli baar
sakeena aayi hai baba Hussain kehte hue

hai mera sher wasiyat banam Ahle azaa
yeh iltija hai ke akbar ko aaye jab bhi qaza
uthana mera janaza Hussain kehte hue