Kitna haseen hai mera Hussain

- Syed Raza Abbas Zaidi (2025)


kehti thi Zahra (s.a) dekhke chehra kitna haseen hai mera Hussain
tum meri jaan hon sadqe yeh maa ho tum pay husn bhi fida Hussain

ban ke aaya hai mera noore nazar tu
isliye aankhon mein hain khushi ke ansoo
jis se mehka hai mera ghar mera Gulshan
teen shabaan mili mujhkoo woh khushbu
farsh pay aake mein ne kiya hai intezaar bas tera Hussain

aaja taron se teri nazar utaroon
chaand ko aaj tairay Husn pay vaaru
paas jab aaye to seenay se lagaakar
pyar se thujko hussaina mein poukaron
mein ne khuda se kuch nahi manga jab se mujhko tu mila Hussain

tu mere baba Muhammad (s.a.w.s) ki jhalak hai
ayaton ki tere chehray pay damak hai
hain Hussain abr ke jaisay tairay abroo
teri aankhon mein Ali (a.s) jaisi chamak hai
noore mujassam fakhre do aalam tu khuda ka moujza Hussain

aur bhar jaayegaa raunak se mera ghar
jab chalay ga tu meri ungli pakad kar
bhai ke sath mere paas tum aana
jab pukarungi mein shabbir aur shabbar
mujhko miley hain chaand se betay pehla Hasan dosra Hussain

mass huwa jab woh tairay jhulay se aakar
tairay sadqy mein hi fitrus ko miley par
mujhse darwazay pay aa aake farishtay
mangte hain tera sadqa ae mere dilbar
sabko mein tera baant dun sadqa aik baar muskura Hussain

dekh jibrael tera jhoola jhulaye
aur rizwan tairay naaz uthaaye
Anbiya hon ya malak hon ae mere dil
sab taire sath zamee par hi chalay aaye
arsh pay unkaa dil nahi lagta ishhq tujse hogaya Hussain

dekhke husn tera aur ye adaye
dil yeh karta hai liye jaaun balayen
tujse wada hai kabhi radd nah karongi
tairay sadqy mein jo mangay ga duayen
uski Shafaat hai mera zimma dil se jo kahega ya Hussain

aaj zeeshan o Raza jiski khushi hai
dilbar Zahra (s.a) hussain ibn-e Ali hai
teen shabaan badi eid hai phir bhi
sab azadaron ki aankhon mein nami he
kyun nah hon ansoo anay pay tairay roye thay khud Mustafa Hussain