Koi Abbas saa
- Zeeshan Abidi (2025)
Koi Abbas (a.s) sa doosra hai to la
Iske parcham ke jaisi hawa hai to la
Aakhri sar urakar yeh bola jari
Aur lashkar mein koi bacha hai to la
Woh jo dariya pe khencha tha Abbas (a.s) ne
Koi uss khat se aage barha hai to la
Hath tujhse milaonga main shauq se
In se tune Alam ko chhua hai to la
Dekh koi maraz laa Ilaj ab nahi
Ghar mein thori si khaak-e-shifa hai to la
Is zameen par to jannat hai Karbobala
Aasmaa'n par koi Karbala hai to la
Maar kar mounh pe sajday yeh bola Khuda
Ishq tune Ali (a.s) se kiya hai to la
Main to Shia hoon likha hoon Quran mein
Tera Quran mein tazkira hai to la
Bola Fitrus main misli kyun na kahoon
Meri tarah se koi uda hai to la
Dekh Shajra Hai Chehre Pe Zeeshan Ka
Tera shajarah kaheen pe likha hai to la