Zamane aayenge zainab

- Mir Hasan Mir (2025)


bayaan kaise ho woh kufe ka manzar
yeh kehte hoon gay jab beti se haider.

hamare baad aisay bhi zamane aaenge zainab. - 3
issi kofay mein pathar tum ko mare jaenge zainab

galay unn ko laga kar pyar karna maa ki janib se.
humein dafna ke jab hasnain wapis aaein gay zainab.

tumhari maa ko bhi darbar mein logon ne bulwaya.
tumhein bhi be rida darbar mein bulwaein gay zainab.

yeh kofa hai yahan ke logon ki nazrein badalti hain.
abhi jo sheer laye hain woh pathar laein gay zainab.

ali ne ghar mein yeh paigham bhajwaya hai masjid se.
na tum ghar se nikalna warna hum mar jaein gay zainab.

sitam ho ga keh qabrein bhi na hoon gi pas qabron ke.
madina, karbala, kofa mein hum bat jaein gay zainab.

tamachay qatal-e-mohsin our woh darbar ki peshi.
yeh sare dukh hum apni qabar mein le jaein gay zainab.

kaha hai hum ne kyun hasnain ke hotey tumhein zainab.
yeh raaz hum hashar ke maidan mein batlaein gay zainab.

na ghabrana humein aawaz dena satwein dar par.
tumharey sath mein darbar hum bhi jaein gay zainab.

takallum keh ke yeh beti se rukhsat ho gaye maula.
hum ab sham-e-ghareebaan tum se milney aaein gay zainab.