Hay Be Rida Zainab
- Nadeem Reza Sarwar (2022)
Hai be Rida zainab sa aor sham ka bazar
Ab waqte madad hai aa jao alamdar as
Koi nahi yawar na koi hai ghamkhwar
Ab waqte madad hai aa jao alamdar
1. Kis Shan se tum laye the zainab sa ko watan se
Mehmil thi amari bhi thi pehre bhi Lage the
Har simt hain aghiyar Abid as bhi hai lachar
Ab waqte madad hai aa jao alamdar.
2. Bazar me ham jaenge kis tarha khule sar
Shole koi barsaega ham par koi patthar
Sadqe ki khajooren phekenge sitamgar
Ab waqte madad hai aa jao alamdar
3. Raho me hai kante mere paon me hain chhale
Be dard tamashai hain sunte nahi naale
Aor tez chalo ab kehte hain sitamgaar
Ab waqte madad hai aa jao alamdar
4. Awaz tumhe deti hai Masoom sakina sa
Is darja mazalim hain ke dushwar hai jeena
Shiddat se atash ki mar jaye na ghamkhwar
Ab waqte madad hai aa jao alamdar
5. Hai takht pe baitha hua ma'loon sharabi
Aor qaid khadi farsh pe aolad nabi saww ki
Ghurbat pe hamari khush hote hain aghiyar
Ab waqte madad hai aa jao alamdar