Abbas-e-alamdar
- Shabbir and Abbas Tejani (2005)
Abbas-e-alamdar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x4
- Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar, Tumsa to zamaane me nahi koyi wafadar,
- Hai naame wafa aaj talak tujse hi baaki
- Kha sakta nahi jhooti kassam koyi tumhaari
- Ik mashk bhari nehr se, ik mashk diya khoon
- Dharas tha Sakina ki alamdar ka peykar
- Tum bazuwe shabbir ho haider ke pisar ho
- Tum ruh-e-ali, jaan-e-hussain, ibn-e-ali ho
- Paani pe alam tere siwaa kisne lagaya
- Tum Fatema Zehra ki duwawo ka asar ho
- Haider ne namaazo me jo Allah se manga
- "Rehan" kalam zikre alamdar karenga
- Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar, Tumsa to zamaane me nahi koyi wafadar,
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Rakhi jo sare aab hai bunyaad wafaa ki
Is baat se karsakta nahi koyi bhi inkaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Hai ek siffat baab-e-hawaaij bhi tumhaari
Tu chahe to ruk jaaye abhi waqt ki raftaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Jab mashk chidi behgaya sine se tera khoon
Zainab ne kahaa maara gaya mera madadgaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Jab tak raha zindaa na chini bibi ki chadar
Baad aap ke dakhil huwe khaymo(n) me sitamghar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hai(n) tumhe(n) dekh ke bas sayyede abraar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Tum ibne wali, ibne wali, ibne wali ho
Hai dushamne dee(n) ke liye bazu teri talwaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-shabbir ke ho haider-e-karrar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Tum dhoop me Zainab ke liye misle shajar ho
Parcham ka pharayra hai tera aisa hawaadar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
Kehte the khuda de mujhe Abbas sa beta
Wo jisko kahe sara arab Ghaziyo Jarrar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
"Abbas" ke munkir ko jo talwaar lagenga
Wo mere madadgaar hai mai unka hu ghamkhwaar
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2
(Abbas-e-alamdar, abbas-e-alamdar) x2