Zamana Tumhara Ya Hussain

- Nadeem Sarwar (2025)



Ya Hussain Maula Ya Hussain - 4

Jag hai tumhara maula jag hai tumhara
Dekho ya Hussain saara jag hai tumhara.
Ya Hussain Maula Ya Hussain - 2

Wo Sadaaye halmin jo kal goonj rahi thi sehraa mein - 2
aaj talak, sadiyon se wohi goonj rahi hai duniya mein - 2

Aap akele thay Maula
Aap akele thay Maula
Ab saari duniya saath mein hai
Saath bhi aisa, ke ab sab ka jeena marna saath mein hai

Ya maula ya Hussain

saara zamana Haan ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
tum akele nahin ho Ya Hussain - 2

Ye zameen-o-aasmaan keh rahi hai har zabaan
keh raha hai Har nazara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Hussain Hussain Hussain
Maula maula Hussain Hussain Hussain - 2

Roz-e-Ashoora Lakhon mein tanha Hussain humko bula rahe thay
Hal min ka naara hai ye ishaara
Hussain sabko jaga rahe thay
Zinda raha hai, zinda rahega
Hal min ka naara Hussain ka 
har dil ki dua Har lab pe sada
Ye khazana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain - 2
Saara zamana ha ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
tum akele nahin ho Ya Hussain

Ya imame do jahaan sheh saware karwaan
Tum Jahan ho hum wahan Ya Hussain
Hum sab ka hai naara, Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Kal thay akele Karbobala mein Hussain Koi na tha tumhara
Aur aaj aalam pukarta hai Hussain hamara Hussain hamara
Badla hai kaisa, dekho nazara
Har dil thikana Hussain ka
Tum pe maula subho shaam
Saari qaumon ka salaam
Sab ne mil ke hai pukara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain - 2
Saara zamana ha ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
tum akele nahin ho Ya Hussain

Ye zameeno aasmaan, keh rahi hai Har zabaan 
keh raha hai Har nazara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Hussain Hussain Hussain
Maula Maula Hussain Hussain Hussain - 2

Karodo dil hain jo aaj Maula
Tumhari janib rawaan dawaan hai
Labbaik Maula, Labbaik Maula
Yahi sadaaye zabaan zabaan hai
Har karwaan mein, har ek zabaan mein
Naam aa raha hai Hussain ka
Sab ka pyara Ya Hussain
Sab ka naara Ya Hussain
Har zamana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain - 2
Ya imame do jahaan sheh saware karwaan
Tum Jahan ho hum wahan Ya Hussain

Ye goonjay ga - 8
Ha naam Hussain ka goonjayga
Sab galiyon mein, sab raahon mein
Sab shehron mein, maidanon mein
Dil ki dhadkan dhadkan mein,ghar ghar me aangan aangan mein
Sehraon mein, daryaaon mein
Sab zehno mein, ha nabjo me, naaro mein, baaton baaton mein
Naam Hussain ka goonjay ga
Saara zamana ha ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
tum akele nahin ho Ya Hussain

Ye zameeno aasmaan, keh rahi hai Har zabaan 
keh raha hai Har nazara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain
Ya Hussain
Hussain Hussain Hussain
Maula Maula Hussain Hussain Hussain - 2

Salaam tum par Janab-e-Zainab
Hussain ban kar dikhaya tumne
Qadam qadam par suna ke khutbe
Hussainiyat ko badhaya tumne
Nauha sunaya, maatam karwaya
Parcham uthaya Hussain ka
Kabhi barsare bazar, kabhi barsare darbar
Bibi Zainab ne pukara Ya Hussain
tum akele nahin ho Ya Hussain - 2
Saara zamana ha ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
tum akele nahin ho Ya Hussain

Ya imame do jahaan sheh saware karwaan
Tum Jahan ho hum wahan Ya Hussain
Hum sab ka hai naara
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain - 2

Kya bawafa the Hussain wale
Jo Karbala mein the Para para
Sadaaye Halmin woh sun rahe the
Hussain ka tha ye istegasa
Abbas! Aao mujhko sambhalo
Koi raha na Hussain ka
Di Shaheedon ne sada
Tum pe ho jayein fida
Mile jaan jo dobara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain
Ya Hussain maula ya hussain - 3

Haazir hai, haazir hai Maula
Maula Maula Hussain Maula
Pursa lo pursa Hamara
Maula Maula Hussain Maula
har Dil mein hai gham tumhara
Maula Maula Hussain Maula
Ya Maula

Hum na bhoolenge Karbala
Hum na bhoolenge Ashura
Rahega Sada ye naara Maula maula Hussain maula - 2
Haazir hai, haazir hai Maula, Maula maula Hussain maula - 4