Chala gaya Abbas (a.s)
- Syed Raza Abbas Zaidi (2025)
Alam jo darya se aata hua dikhai diya
Sakina dar pe jo pohnchein to baap ko dekha
Ye ro ke bachi ne poocha kahan hain mere chacha
Alam Sakina ke haathon mein deke Shah ne kaha
Alam badha do Sakina, chala gaya Abbas
Hussain ho gaya tanha, chala gaya Abbas
Yaqeen aata nahi tha ke mar gaya Ghazi
Main thapthapata raha uske gaal, aye beti
Magar Hussain ki us waqt aas toot gayi
Jab aa ke maa ne bataya, chala gaya Abbas
Sakina paani se kis ki nazar utaarogi
Tum ammu jaan kise keh ke ab pukarogi
Woh yaad aayega jab Shaam tum sidharogi
Nahi milega dobara, chala gaya Abbas
Pohanch ke darya pe mashkiza jab bhara usne
Sakina yaad teri pyaas ko rakha usne
Tha uske saamne paani, nahi piya usne
Tumhari tarah se pyaasa, chala gaya Abbas
Kisi ne gurz jo maara to woh sambhal na saka
Katte the haath, sahara woh kis tarah leta
Zameen pe aise gira, zakhmi ho gaya chehra
Dobara uth nahi paya, chala gaya Abbas
Kahan kahan use royi hai meri tanhai
Kahin badan tha, kahin haath kya ghadi aayi
Bikhar gaya mera battis saal ka bhai
Pada hai dasht mein laasha, chala gaya Abbas
Jawan bhai ka mar jaana sakht manzil hai
Main kaise zinda hoon yeh jaanta mera dil hai
Magar Sakina yeh ek kaam sab se mushkil hai
Teri phuphi ko batana, chala gaya Abbas
Laga hai haath pe jo khoon, yeh usi ka hai
Tha uski aankh mein jo teer, maine kheencha hai
Woh jaanta tha mere dil mein kya tamanna hai
Pukaar kar mujhe Bhaiya, chala gaya Abbas
Zameen pe girne se dandan uske zakhmi the
Kate the hont, badan choor choor zakhmon se
Tum aise haal mein Ghazi ko dekhti kaise
Jabhi to ghar nahi aaya, chala gaya Abbas
Ghadi woh aayi thi Zeeshan aur Raza kaisi
Kaha yeh khemon mein jab Shah ne mar gaya Ghazi
Giri zameen pe ghash kha ke bibiyan saari
Koi bhi sun nahi paaya, chala gaya Abbas