Abbas Batao

- Syed Mohd Taqi (2025)


Jab zeen se zameen pe aaya Ali ka sher
Rukhsat is jahaan se lamho Ki thi jo der
Awaaz di Hussain ko Aaqa salaam ho
Abbas ja rahe hai yaha se ba-hisht ko
Pohonche Hussain roote hue tham kar kamar
Pochha lahu ko aankh se zanu pe rakha sir...

• Kya tum Pe Guzar ti hai kehte thay
Shahe wala Abbas batao
Abbas batao

• Kyu chhod ke jaate ho, pardes me yu
Tanha Abbas batao
Abbas batao

1) Shabbir pe gurbat me yeh waqt pada kaisa
Tum chhod ke jaaoge humne nahi socha tha
Ab kaun pukarega, aye bhai hume aaqa...
Abbas batao(2)

2) Zainab tere raste pe palko ko bichaye hai
Har tishna dahan tujhse ek aas lagaaye hai
Hum kaise batayenge be-bazu hua saqqa..
Abbas batao(2) ..

3) Saqqa-e-Haram tum ho, lashkar ka bharam tum ho
Shabbir ke baazu me, jitna bhi hai dum tum ho
Kya tum ko gawara hai Zahra ka lutey Kunba...
Abbas batao(2)....

4) Gazi" ne kaha Aaqa, mar gaya sab lashkar
Lashkar ki jo raunak tha, mar gaya wo Akbar
Ab kaisi alamdaari, salaar bane kiska...
Abbas batao(2)...

5) Sheh ne kaha khaime me kehti yeh Sakina hai
Aatey hai abhi Ammu, paani abhi aata hai
Poochengi tumhara jab, kya usko bataunga...
Abbas batao(2)....

6)Rote hue Gazi yeh, aye kehne lage Aaqa
Sharminda Sakina se
hai uska bohot saqqa
Saqqayi na kar paya, ab ji ke karega kya...
Abbas batao (2)...

7) Sheh kehne lage accha, ehsaan toh yeh karo
Ek baar zara bhai, tum bhai Hume kehdo
Mat bolo hume Aaqa, tum kehte nahi bhayya...
Abbas batao(2)..

8) Gazi ne kaha bhai, taqat nahi, mutlaq hai
Dil dubta jaata hai, yun aapke girye se
Poochengi sare jannat, rone ka sabab Zahra...
Abbas batao (2)....

9)"Salman" kalam se ho, manzar vo bayan kaise
Ek bhai ke zanu pe, dam toda jo bhai ne
Shabbir ke honton pe, tha der raha jumla...
Abbas batao