Haye yeh bachi

- Minhal Ali Rizvi (2023)


haye ye bacchi kaun hai
ye to sakina lagti hai

aati hai maqtal ki taraf
dekha hai kyun suyt najaf
kya is ka dada hai Ali
ye to sakina lagti hai

ati hai jo roti hui
sadmo say jaan khoti hui
phayrti hui naad e ali
ye to sakina lagti hai

kyun ro ke jaan deti hai ye
kyun siskiyan leti hai ye
kya margaya is ka koi
ye to sakina lagti hai

kano say kyun khon' hai ravan
uff ye tamachon ke nishan'
ye zulm aur ye kamsini
ye to sakina lagti hai

kausar ye maqtal ki faza
tarpa rahi hai dil mera
taari hai gham ki teeragi
ye to sakina lagti hai